◆IsLaami Zindagi◆ Post-22
◆IsLaami Zindagi◆ Post-22
Baab-4
Peheli Fasl
◆ Biyah Shadi Ki Rasme'n
●Dulhan Ki Talaash Mangni Aur Tareekh TheharNa
••Maujuda Ghalat Rasme'n
Jab Apni Marzi Ka Ladka Mil Gaya To Ab Khair Se Mangni (Kadmayi) Ka Waqt Aaya. Is Me'n Dulhan Walo'n Ki Taraf Se Mutalebah Huwa Ke Aise Kapdo'n Ka Joda Is Qadar Sone Ka Zewar Chadao. Is Farma'ish Ko Pura Karne Ke Liye Ladke Wale Aksar Qarz Le Kar Ya Kisi Jaga Se Zewar Maang Kar Chada Dete Hain. Jab Mangni Ka Waqt Aaya To Ladke Wala Apne Qarabat Daro Ko Jama'a Karke Awwalan Unki Dawat Apne Ghar Karta Hai Phir Dulhan Ke Yaha Un Sabko Le Jata Hai. Jaha'n Dulhan Walo'n Ke Qarabat Daar Pehle Hi Se Jama'a Hote Hain Gharz Ke Dulhan Ke Ghar Do(2) Qism Ke Mele Lag Jate Hain Phir Unki Pur Takalluf Dawat Hoti Hai. U.P Me'n To Khane Ki Dawat Hoti Hai Magar Panjab Me'n Mithayi Aur Chaay Ki Dawat Jis Me'n Is Rasam Par Duno'n Taraf Se 400-500 Rupaiya Tak Kharch Hojate Hai. Phir Dulhan Ke Yaha Se Ladke Ko Sone Ki Anghoti Aur Kuch Kapde Milte Hain Aur Ladki Ko Dulhe Walo'n Ki Taraf Se Qeemti Joda, Bhari Suthra Zewar Diya Jata Hai Phir Mangni Se Shadi Tak Har Eid Baqra Eid Waghairah Par Kapde Aur Waqtan Fawaqtan Mausami (Fruits) Aur Mithayiya'n Ladke Ke Ghar Se Jana Zaruri Hai.
▶To be Continued ............... In Shaa Allah
Ref: Islami Zindagi
Az: Hakeemul Ummat Shaikhul Tafseer Mufti Ahmed Yaar Khan Na'eemi Alaihir Rahmah)
By:Gulshan E Fatima
Comments
Post a Comment