◆IsLaami Zindagi◆ Post-25
◆IsLaami Zindagi◆ Post-25
Baab-4
Peheli Fasl
◆ Biyah Shadi Ki Rasoom Ki Kharabiya'n
Ye Bhi Yaad Rakho Ke Teen(3) Qism Ke Maalo'n Me'n Barkat Nahi.
Ek To Zameen Ka Paisa Yaani Zameen Ya Makaan Farokht Karke Khao. Isme Barkat Nahi Chahiye Ke Ya To Zameen Na Farokht Karo Aur Agar Farokht Karo To Iska Paisa Zameen Hi Me'n Kharch Karo.
Dusre __ Ladki Ka Paisa Yaani Ladki Wale Jo Rupaiya Lekar Shadi Karte Hain Us Me'n Barkat Nahi Aur Paisa Lena Haraam Hai Kynke Ya To Ye Ladki Ki Qimat Hai Ya Rishwat Ye Duno'n Haraam Hain.
Tisre__ Wo Jahez -O- Maal Jo Ladki Apne Maike Se Laye. Agar Dulha Isko Garz Auqaat Ka Zari'ah Bana De To Is Me'n Barkat Nahi Hogi Apni Quwwate Baazo Par Bharosa Karo.
▶To be Continued ............... In Shaa Allah
Ref: Islami Zindagi
Az: Hakeemul Ummat Shaikhul Tafseer Mufti Ahmed Yaar Khan Na'eemi Alaihir Rahmah)
By:Gulshan E Fatima
Comments
Post a Comment