◆IsLaami Zindagi◆ Post-27

◆IsLaami Zindagi◆ Post-27

Baab-4
Peheli Fasl

◆ Biyah Shadi Ki Rasoom Ki Kharabiya'n

Mangni Ki Rasmo'n Ki Kharabiya'n Bayaan Se Bahar Hain. Bahot Se Log Sudi Qarz Se Ya Maang Kar Zewar Chadate Hain. Shadi Ke Ba'd Dulhan Se Wo Zewar Huliye Bahane Se Lekar Wapas Karte Hain. Jiski Waja Se Aapas Me'n Khoob Ladayiya'n Hoti Hain Aur shuru Ki Wo Ladayi Aisi Hoti Hai Ke Phir Khatam Nahi Hoti Aur Kahi'n Aisa Bhi Hota Hai Ke Mangni Choot Jati Hai Phir Dulhan Walo'n Se Zewar Wapas Maanga Jata Hai Idhar Se Inkaar Hota Hai Jis Par Muqaddama Baazi Ki Naubat Aati Hai. Isi Tarah Mangni Ke Waqt Dawat Aur Fazool Kharchi Ka Haal Hai Agar Mangni Choot Gayi To Mutaleba Hota Hai Ke Hamara Kharch Wapas Kardo Aur Duno'n Fareeq Khoob Ladte Hain Ba'd Dafa Mangni Me'n Itna Kharch Hojata Hai Ke Fariqain Me'n Shadi Ke Kharch Ki Himmat Nahi Rehti Phir Kabhi Kabhi Kapdo'n Ke Jode Aur Mithaiyo'n Ke Kharch Ladke Walo'n Ka Diwaliyah Nikaal Deta Hai Aur Shadi Ke Waqt Ghaur Karta Hai Ke Dulhan Wale Ne Is Qadar Jahez Aur Zewar Waghaira Diya Nahi Jo Mera Kharch Kara Chuka Hai Agar Ladki Wale Ne Itna Na Diya To Ladki Ki Jaan Suli Par Rehti Hai Ke Tere Baap Ne Hamara Le Le Kar Khaya , Diya Kya? Aur Agar Khoob Diya To Kehte Hain Ke Kya Diya, Ham Se Bhi To Khoob Kharch kara Liya. Baaqi Gaane Bajane Ki Rasmo'n Me'n Wo Kharabiya'n Hain Jo Ham Pehle Bayaan Kar Chuke Hain Maayeya'n Aur Uptan Ki Rasme'n Bahot Se Haraam Kaamo'n Ka Majmu'Aa Hain Isliye In Tamam Rasmo'n Ko Band Karna Zaruri Hai.

▶To be Continued ............... In Shaa Allah

Ref: Islami Zindagi
Az: Hakeemul Ummat Shaikhul Tafseer Mufti Ahmed Yaar Khan Na'eemi Alaihir Rahmah)

By:Gulshan E Fatima

Comments