◆IsLaami Zindagi◆ Post-28
◆IsLaami Zindagi◆ Post-28
Baab-4
Peheli Fasl
◆ Biyah Shadi Ki IsLami Rasme'n
Ladki Ke Liye Ladka Aur Ladke Ke Liye Ladki Aisi Talaash Ki Jaye Jo Shareef Aur DeenDaar Ho, Taake Aapas Me'n Mohabbat Rahe.
Jaha'n Ladke Ki Marzi Na Ho Waha'n Hargiz Nikah Na Ho. Isi Tarah Jaha'n Ladki Aur Ladki Ki Maa'n Ka Mansha Na Ho, Waha'n Nikah Karna Zahre Qaatil Hai. Hamne Dekha Hai Ke Aisi Shadiya'n Kamiyab Nahi Hote'n. Isi Liye SharAn Zaruri Hai Ke Ladki Se Izn (Ijazat) Lete Waqt Ladke Ka Naam Ma'a Uske Walid Ke Aur Maher Bataya Jaye Ke Aye Beti Ham Tera Falaa'n Ladke Falaa'n Ke Bete Se Nikah Kar De'n Wo Kahe Haan Tab Nikah Hota Hai. Ye Izn Ladki Ki Raay Ma'aloom Karne Ke Liye Hi To Hai Agar Mauqa Hoto Ladke Ko Ladki Paigham Se Pehle Kisi Bahane Se Khufiya Taur Par Dikhayi Jaye Ke Ladki Ko Ye Khabar Na Ho.
(Hadees)
▶To be Continued ............... In Shaa Allah
Ref: Islami Zindagi
Az: Hakeemul Ummat Shaikhul Tafseer Mufti Ahmed Yaar Khan Na'eemi Alaihir Rahmah)
By:Gulshan E Fatima
Comments
Post a Comment