◆IsLaami Zindagi◆ Post-29
◆IsLaami Zindagi◆ Post-29
Baab-4
Peheli Fasl
◆ Biyah Shadi Ki IsLami Rasme'n
Nikah Se Peshtar Apne Saare Qarabat Daaro'n Ka Mashaurah Lena Behtar Hai.
QurAane Kareem Farmata Hai: ومرھم شوری بینھم
Aise Nikah Ke Saare Qarabat Daar Zimma Daar Hojate Hain Aur Agar Dulhan Aur Dulha Me'n Naa-Ittefaqi Hojaye To Ye Log Mil Kar ittefaaq Ki Koshish Karte Hain. Mangni Dar-Asal Nikah Ka Wada Hai Agar Ye Na Bhi Ho Jab Bhi Koyi Harj Nahi.
Lihaza Behtar To Ye Hai Ke Mangni Ki Rasam Bilkul Khatam Kardi Jaye Iski Koyi Zarurat Nahi Hai Aur Siwaye Nuqsaan Ke Isse Kuch Faida Nahi Ghaliban Hamne Ye Rasme'n Hindo'o'n Se Seekhi Hain. Kyunke Siwaye Hindustan Ke Aur Kahi'n Ye Rasam Nahi Hoti Balke Arbi Ya Farsi Zabano'n Me'n Iska Koyi Naam Bhi Nahi. Iske Jitne Naam Milte Hain Sab Hindi Zaban Ke Hain.
Chunanche Mangni, Sagayi, Kadmayi, Saakh Ye Iske Naam Hain Aur In Me'n Se Koyi Bhi Arbi Farsi Nahi.
▶To be Continued ......(Mangni Zaruri Hai To Is Tarah kare)............ In Shaa Allah
Ref: Islami Zindagi
Az: Hakeemul Ummat Shaikhul Tafseer Mufti Ahmed Yaar Khan Na'eemi Alaihir Rahmah)
Comments
Post a Comment