◆IsLaami Zindagi◆ Post-31

◆IsLaami Zindagi◆ Post-31
Baab-4

Peheli Fasl

◆ Biyah Shadi Ki IsLami Rasme'n

Agar Dusre Shahar Se Mangni Karne Wale Aaye Hain To Un Me'n 7 Aadmi Se Zyada Na Aaye'n Aur Dulhan Wale Mehmani Ke Lihaaz Se Unko Khana Khilaye'n. Magar Us Khane Me'n Dusre Muhalle Walo'n Ki Aam Dawat Ki Koyi Zarurat Nahi. Phir Iske Ba'd Ladke Wale Jab Bhi Aaye'n To Unpar Mithayi Aur Kapdo'n Ke Jodo'n Ki Pabandi Na Ho. Agar Apni Khushi Se Baccho'n Ke Liye Thodi Si Mithayi Laye'n To Usko Muhalle Me'n Taqseem Karne Ki Koyi Zarurat Nahi.

Hadeese Paak Me'n Hai Ke Ek Dusre Ko Hadiyah Do Mohabbat Badhegi Magar Is Hadiyah Ko Tax Na Banalo Ke Wo Bechara Iske Baghair Aa Hi Na Sake.

▶To be Continued ............... In Shaa Allah

Ref: Islami Zindagi
Az: Hakeemul Ummat Shaikhul Tafseer Mufti Ahmed Yaar Khan Na'eemi Alaihir Rahmah)

By:Gulshan E Fatima

Comments