◆IsLaami Zindagi◆ Post-33
◆IsLaami Zindagi◆ Post-33
Peheli Fasl
◆ Biyah Shadi Ki IsLami Rasme'n
Phir Tareekh Ke Ba'd Gaane Bajane Dhool Waghaira Na Hon Balke Agar Ho Sake To Har Tisre Din Mehfile Milaad Kar Diya Kare'n Jis Me'n Naat Khwani Aur Duroode Paak Ki Tilawat Ho, Aise Wa'az Kiye Jaye'n Jis Me'n Maujudah Rasmo'n Ki Buraiyo'n Ka Bayaan Hon. Maayiyo'n Aur Uptan Ki Tamam Rasme'n Bikul Band Kardi Jaye'n.
Yaani Agar Dulhan Ko Ek Jaga Bitha Diya Jaye Ya Ke Dulha Dulhan Ke Khushbu Yaani Uptan Mala Jaye To Koyi Harj Nahi Ke Ye Uptan Ek Tarah Ki Khushbu Hai Aur Khushbu Nabi Kareem ﷺ Ko Bahot Pasand Thi Balke Shadi Ke Waqt Khushbu Istemaal Karna Sahaba Kiraam Se Saabit Hai.
▶To be Continued ............... In Shaa Allah
Ref: Islami Zindagi
Az: Hakeemul Ummat Shaikhul Tafseer Mufti Ahmed Yaar Khan Na'eemi Alaihir Rahmah)
By:Gulshan E Fatima
Comments
Post a Comment