◆IsLaami Zindagi◆ Post-34

◆IsLaami Zindagi◆ Post-34

◆ Biyah Shadi Ki IsLami Rasme'n

Dusri Fasl

◆ Nikah Aur Rukhsat Ki Rasme'n
••Maujudah Ghalat Rasme'n

Nikah Ke Waqt Do(2) Tarah Ki Rasme'n Hoti Hain. Kuch Wo Jo Dulha Ke Ghar Ki Jati Hain Aur Kuch Wo Jo Dulhan Ke. Dulha Ke Ghar To Ye Hota Hai Ke Dulha Ko Naayi Ghusl Deta Hai, Wahi Kapde Badalwata Hai, Surkh Rang Ki Pagdi Baandh Kar Uspar Sunehri Gota Lapet Diya Jata Hai Phir Uspar Sehra Baandhta Hai, Jis Me'n Phool Patti Aur Nalkiya'n Lagi Hoti Hain. Naayi Ye Kaam Karke Ek Thaali Rakh Deta Hai Jis Me'n Tamam Qarabat_Daar Mard Rupaiya Paisa Nichawar Karke Daalte Hain. Iske Ba'd Aurate'n Nichawar Karti Hain Jo Naayi Ki Biwi Naayin Ka Haq Hota Hai Aur Aaj Se Pehle Saare Qarabat_Daar Jama Hojate Hain Jo Khana Khate Jate Hain Aur Newte Ke Rupaiye Diye Jate Hain, Likhne Wala Wo Rupe Likhta Jata Hai Is Khane Ka Naam Baraat Ki Roti Hai.

▶To be Continued ............... In Shaa Allah

Ref: Islami Zindagi
Az: Hakeemul Ummat Shaikhul Tafseer Mufti Ahmed Yaar Khan Na'eemi Alaihir Rahmah)

By:Gulshan E Fatima

Comments