◆IsLaami Zindagi◆ Post-35
◆IsLaami Zindagi◆ Post-35
◆ Biyah Shadi Ki IsLami Rasme'n
Dusri Fasl
◆ Nikah Aur Rukhsat Ki Rasme'n
••Maujudah Ghalat Rasme'n
Pichli Post Bhi Padhe Samajhne Me'n Aasani Hogi.
Is Waqt Zyada Qaabil Raham Dulha Ke Nana Mamu'n Ki Haalat Hoti Hai Kyunke Inpar Zaruri Hai Ke Bhaat Lekar Aaye'n. Warna Naak Cut Jayegi. Is Bhaat Ki Rasam Ne Sad'ha Ghar Barbaad Kar Diye. Bhaat Me'n Zaruri Hai Ke Dulha Aur Uske Tamaam Qarabat_Daaro'n Ke Liye Kapde Ke Jode, Kuch Naqdi Aur Kuch Ghalla De'n. Ba'z Jaga 40-50 Jode Tak Laane Padte Hain. Agar Ek Joda 5-Rupe Me'n Bhi Bana'o To 250 Rupe Thande Hogaye. (Aaj Ke Daur Me'n Laakho'n Rupe Barbad Hai). (Musannif Keh Rahe Hai➡️) Khud Me'n Ne Ek Dukan_Daar Ko Dekha Bade Maze Se Guzar Kar Raha Tha. Bhanji Ki Shadi Aan Padi. Me'n Ne Unko Bahot Samjhaya Ke Bhaat Na De Ya Apni Haisiyat Ke Mutabiq De Wo Na Maana. Aakhir Kaar Uski Dukaan Bhaat Ki Nazar Hogayi Ab Bahot Musibat Me'n Hai.
▶To be Continued ............... In Shaa Allah
Ref: Islami Zindagi
Az: Hakeemul Ummat Shaikhul Tafseer Mufti Ahmed Yaar Khan Na'eemi Alaihir Rahmah)
By:Gulshan E Fatima
Comments
Post a Comment