◆IsLaami Zindagi◆Post-19

◆IsLaami Zindagi◆

Post-19

Baab-3

◆ Baccho'n Ke Parwarish Ka Islami Tariqah

Sahaba Kiraam Alaihimur Ridwaan Ki Parwarish Baargahe Nabuwat ﷺ Me'n Aisi Kaamil Huwi Ke Jab Wo Maidane Jang Me'n Aate To Aala Darje Ke Ghaazi Hote The Aur Masjid Me'n Aakar Aala Darje Ke Namazi , Ghar Baar Me'n Pohanch Kar Aala Darjae Ke Karobari , Kach'hari Me'n Aakar Aala Darje Ke Qaazi Hote The. Apne Baccho'n Ko Is Ta'Aaleem Ka Namuna Banao, Agar Deen -O- Duniya Me'n Bhalayi Chahte Hoto Ye Kitaabe Khud Bhi Muta'alla Me'n Rakho Aur Apni Biwi Baccho'n Ko Bhi Padhao.

Bahare Shari'at 
Musannif :-Hazrat Hazrat Allama Amjad Ali Sahab ,

kitabul Aqa'id 
Musannif :-Hazrat Murshidi -O- Ustazi Mulana Molvi Muhammed Na'eemuddeen Sahahib Daam Zillahum ,

Shaane Habibur Rahmaan , Saltanate Mustafa
Musannif :-Faqeer Haqeer Pur Az Tafseer Ahmed Yaar Khan Na'eemi.

Ladkiyo'n Ko Khana Pakana, seena , pirona Aur Ghar Ke Kaam Kaaj , Paak Daamani Aur Sharm -O- Haya Ye Ladkiyo'n Ka Hunar Hai.
Unko colleget Aur Graduate Na Banao Ke Ladkiyo'n Ke Liye Is Zamane Me'n College Aur Bazaar Me'n Kuch Farq Nahi Balke Bazari Aurat Ke Paas Log Jate Hain Aur College Ki Ladki Logo'n Ke Paas Jaati Hai, Jiska Din Raat Mushahidah Ho Raha Hai.

Allahu Akbar

▶To be Continued .......(Shadi Biya Ki Rasme'n)........ In Shaa Allah

Ref: Islami Zindagi
Az: Hakeemul Ummat Shaikhul Tafseer Mufti Ahmed Yaar Khan Na'eemi Alaihir Rahmah)

Comments