kya mitti ka tel napakhe ya sirf us ki bu yani khushbunapak he ?
Suwal no. 71. kya mitti ka tel napak
he ya sirf us ki bu yani khushbu
napak he ?
Jawab:
71
Mere khayal me to naa mitti ka tel
napak hai Naa uski bu napak, bass
isme tez mehek hoti hai Jiski wajah
se fuqaha ne ise masjid me lee
jane se Mana kiya Jaisa ki Fatawa
Razawiyya Jild:8 Page:102 me hai
"Mitti ke tel me sakht badbu hai aur
masjid main Badbu le jaana kisi
tarah jaiz nahi," Ye hukm uski tez
khushbu ko le kar hai Mutlaqan mitti
ke tel par nahi Or agar mitti ke tel
se uski mehek jaa chuki Yaani udhchuki to masjid me le jaane me bhi
Harj nahi, Jaisa ki khud AlaHazrat isi
Jild:8 me Page: 103 par farmate hai
"Masjid me mitti ka tel jalana haram
hai, magar jabki Uski bu bilkul door
kar di jaye. (yani bu naa ho to jaiz)
Or agar mitti ka tel napak hota to
khushbu khatam hone ke Baad bhi
masjid me le jane ki ijazat nahi hoti,
Bas yahi zahir ho raha hai ki mitti ka
tel napak nahi hai, jab tak usme koi
nakapki naa mil jaye
Comments
Post a Comment