2. Ahlullah ke zikr ke faide:

Ahlullah ke zikr ke faide:



Jis tarah Allah Ta’ala ke nek aur barguzida bandon ki sohbat duniya mein khair o barkat, aakhirat mein sa’adat o nijaat ka zariya hai isi tarah unke haalaat ka padhna aur sun’na daarain mein sa’adatmandi ka sabab hota hai. 
isliye ki Allah ke mehboob bandon ko min-janibillah aisi taskheeri taaqat hasil hoti hai ki jis par wo tawajjo farma dete hain, uski kaya palat jati hai,kafir hai to daulat e iman se malamaal ho jata hai, be-raah ro hai to siraat e mustaqeem par gaamzan ho jata hai, gunahgar hai nekokaar ban jata hai, aur taarik dilon ko chasm e zadan mein tajaliiyaat e Rabbani ka makhzan bana dete hain.



Hazrat Shaykh Ul Mashaikh Sayyiduna Fariduddin Attar Alaihir Rahma ki kitab “Tazkiratul Auliya” ke safha 6 par hai ki Sayyiduna Shaykh Bu Ali Diqaaq Alaihir Rahma se puchha gaya ki agar koi shakhs Auliya E Kiram ke halaat sune aur phir us par amal na kare, to kya sirf sun lene se us ko koi faida hasil ho sakta hai?


Aap ne farmaya:

“Haan! Ismein kayi faide hain, pehli baat ye hogi ki agar kisi bande mein Ma’rifat E Ilahi ki sachhi talab hogi to uski talab aur himmat mein mazeed izafa hoga, dusra faida ye hai ki maghrooron ke ghuroor mein kami aa jayegi (y’ani maghroor munkasirul mijaaz aur tawazo’ she’aar ban jata hai), teesra faida ye hai ki agar bad-baatin shakhs nahin hai to bazaat e khud Auliya E Kiram ke halaat ka muta’ala karne ka usmein zauq o shauq paida hoga.”



Sarkheel E Auliya, Sayyidut-Taaifa Sayyiduna Junaid Baghdadi Radi Allahu Ta’ala Anhu se daryaaft kiya gaya, ki mureed ko Peer ke zikr se kya faida hasil hota hai?


Uske jawab mein aap ne farmaya ki:
“Mehbooban E Khuda ka zikr Allah Ta’ala ke lashkaron mein se aisa lashkar hai jis ke zariye mureed ko i’anat aur tute huye dil ko dhaaras hasil hoti hai.”
(Tazkiratul Auliya, safha 565)

Y’ani Allah walon ka zikr Khudayi fauj hai jo mureed ko Shaitani waswason se bacha kar nek kaamon mein madad deta hai, aur mureed jab haalaat ki sitam zarifon se shikasta dil ho jata hai to maayusi ke aalam mein ummid ka sooraj tulu’ hota hai jis se mureed ko itminaan e qalb aur roohani sukoon mil jata hai, jis tarah lashkar mulk aur qaum ki hifazat karta hai usi tarah mureed ki hifazat o i’anat Murshid ka zikr karta hai.


Haqeeqat ye hai ki Allah Ta’ala ke paakbaaz bandon ke haalaat o irshadaat mein badi asar angezi aur maqnateesi quwwat hoti hai, unke halaat dekh kar aur irshadaat sun kar insaani quloob unki taraf khinchte chale jate hain, Tazkiratul Auliya ke safha 5 par Sayyiduna Fariduddeen Attar Alaihir Rahma farmate hain ki:


“ Quran O Hadees ke b’ad kisi kalam ko fazilat o azmat hasil hai to wo Auliya E Kiram ke farmudaat hain, kyunki in hazraat ka kalam ha qism ki riyakari aur tasanno’ (banawat) se paak aur Ishq E Ilahi se m’amur hota hai. Isliye ki Allah Ta’ala un ko Ilm E Ladunni ata farma kar Waaris E Ambiya bana deta hai.”
“Zaalika fadlul-lahi-y’utihi may-yasha’a”Quran O Hadees aur Auliya E Kiram Ridwanullahi Ta’ala Alaihim ke irshadaat jo upar bayan huye hain unko saamne rakh kar Shaykh Ul Islam wal Muslimeen, Jaame’ Shari’at O Tareeqat, Tajdar E Ahle Sunnat Sayyidi Sarkar Mufti E A’zam Maulana Mustafa Raza Qadri Barkaati Razavi Bareilwi Radi Allahu Ta’ala Anhu ke ahwaal o aqwaal ko dekha jaye to pehli nazar mein hi ye haqeeqat khul kar saamne aa jati hai ki Huzoor Sarkar Mufti E A’zam Alaihir Rahmatu War-Ridwan ki pehlu-daar shakshiyat har jihat se kaamil o mukammal hai, un ke daur mein koi unka saani nazar na aaya.

Wo Shari’at ke aise jaame’ the ki akabir o asaghir tamam Ulama ne bil-ittefaq Faqeeh e be-misaal Mufti E A’zam E Aalam tasleem kiya. Aur Khanqahi nizam se talluq rakhne wale Mashaikh E Izaam aur Sufiya E Kiram ne unhein Raees ul Atqiya, Imam ul Auliya, Qutub E Zamana aur Ghaus E Waqt maana hai. Maazi qareeb mein Hind O Pak wa digar mumalik mein Silsila E Aaliya Qadriya Barkaatiya ka sab se zyada jo farogh hua hai wo Huzoor Murshid E Kaamil Sayyidi Sarkar Mufti E A’zam Alaihir Rahma ke tausut se hua. Aaj bhi aap ke Khulafa O Murideen lakhon ki t’adaad mein duniya ke mukhtalif ilaqon mein maujud hain.

Aap ki har ada mein itteba e Shari’at O Sunnat ka rang numayaan tha. Apne zamane mein sab se bade Marja E Ulama O Fuqaha hote huye aap ne bai’at o irshaad ke zariye Tareeqat O Tasawwuf ki jo khidmaat ki hain wo unhi ka hissa tha. Us waqt ke Akabir Ulama E Shari’at aur Mashaikh E Tareeqat aap hi ke dast e Haq-parast par bai’at the. Aap Qadri Barkaati aur Razavi faizaan ke sangam the. 


Comments