◆IsLaami Zindagi◆ Post-36

◆IsLaami Zindagi◆ Post-36
Baab-4

◆ Biyah Shadi Ki IsLami Rasme'n

Dusri Fasl

◆ Nikah Aur Rukhsat Ki Rasme'n
••Maujudah Ghalat Rasme'n••
Pichli Post Bhi Padhe Samajhne Me'n Aasani Hogi.

Bhanji Ke Nikah Me'n Ye Bhi Zaruri Hota Hai Ke Kapdo'n Ke Jodo'n Ke Siwa Bhanji Ko Zewar Ya Bhaat Ki Roti Mamu Kare.

Gharz Ke Ek Shadi Me'n Chaar Gharo'n Ki Barbadi Hojati Hai. Jab Ye Sab Rasme'n Ho Chuke'n To Ab Baraat Chali. Jiske Sath Bari Aur Aage Baaja. Balke Ba'z Dafa'a Aage Aage Naachne Wali Randiya'n Bhi Hoti Hain. Gole Chalte Jate Hai. Aatish_Baazi Me'n Aag Lagti Jati Hai, Bari Us Mewa (Fruit) Ko Kehte Hai Jo Dulha Ki Taraf Se Jati Hai Jis Me'n Shakkar 1-Man Naryal, Makkhana Waghairah 30-Sair Kaccha Doodh Waghairah Bhi Hota Hai. Dulhan Ke Ghar Ye Chize'n Di Jati Hai Jo Ba'd Shadi Taqseem Hoti Hai.

▶To be Continued ............... In Shaa Allah
Ref: Islami Zindagi
Az: Hakeemul Ummat Shaikhul Tafseer Mufti Ahmed Yaar Khan Na'eemi Alaihir Rahmah)
By:Gulshan E Fatima 

Comments