IsLaami Zindagi◆ Post-37
◆IsLaami Zindagi◆ Post-37
◆ Biyah Shadi Ki IsLami Rasme'n
Dusri Fasl
◆ Nikah Aur Rukhsat Ki Rasme'n
••Maujudah Ghalat Rasme'nJab Baraat Dulhan Ke Makaan Par Pohachti Hai To Awwal Waha'n Aatish Baazi Me'n Aag Lagayi Gayi Phir Phool Patti Lutayi Gayi Phir Tamam Baaratiyo'n Ko Dulhan Ki Taraf Se Aam Dawat Di Gayi Phir Nikah Huwa Dulha Makaan Me'n Gaya Jaha'n Pehle Se Aurto'n Ka Majma Laga Huwa Hai. IS Mauqa Par Badi Parda Nasheen Aurate'n Bhi Dulha Ke Samne Be-Takalluf Baghair Parda Aajati Hai , Gaaliyo'n Se Bhare Huwe Gaane Gaye Jate Hain, Saaliya'n Behnawi Se Qism Qism Ka Mazaaq Karti Hain (Halanke Saaliyo'n Ka Behnawi Se Parda Sakht Zaruri Hai) MiraSan Waghairah Apne Huqooq Wasool Karti Hain Phir Rukhsat Ki Tayyari Hoti Hai Jahez Dikhaya Jata Hai
▶To be Continued ............... In Shaa Allah
Ref: Islami Zindagi
Az: Hakeemul Ummat Shaikhul Tafseer Mufti Ahmed Yaar Khan Na'eemi Alaihir Rahmah)
By:Gulshan E Fatima
Comments
Post a Comment