◆IsLaami Zindagi◆ Post-38

ISLAAMI ZINDAGI◆ POST-38
Baab-4

◆ Biyah Shadi Ki IsLami Rasme'n

Dusri Fasl

◆ Nikah Aur Rukhsat Ki Rasme'n
•In Rasoom Ki Kbarabiya'n

In Rasoom Ki Kbarabiya'n Me'n Kya Bayaan Karo'n. Sirf Itna Arz Kar Deta Hon Ke In Rasumo'n Ne Musalman Maal-Daro'n Ko Ghareeb Kangaal Bana Diya. Ghar Walo'n Ko Be-Ghar Kar Diya Musalmano'n Ke Muhalle Hindo'o'n Ke Paas Pohanch Gaye Har Shakhs Apne Shahar Me'n Sadha Misale'n Apni Aankho'n Se Dekhta Hai.
Ab Chand Kbarabiya'n Jo Moti Moti Hain. Arz Karta Hon.

●Awwal Kharabi Ye Ke Is Me'n Maal Ki Barbadi Aur Haq Ta'Aala Ki NaFarmani Hai.

• Na Khuda Hi Mila
Na Wisale Sanam
• Na Idhar Ke Rahe
Na Udhar Ke Rahe

●Dusre Ye Ke Ye Sare Kaam Apne Naam Ke Liye Kiye Jate Hain Magar Dosto ! Siwaye Bad-Naami Ke Kuch Bhi Haasil Nahi Hota.
Khane Wale To Khane Me'n Aib Nikalte Huwe Jate Hain Ke Is Me'n Ghi WilaYati Tha, Namak Zyada Tha , Mirch Acchi Na Thi Aur Dulha Wale Hamesha Shikayat Hi Karte Dekhte Gaye Ladki Ke Liye Waha'n Ta'ane Hi Ta'ane Hote Hain.

▶To be Continued ............... In Shaa Allah

Ref: Islami Zindagi
Az: Hakeemul Ummat Shaikhul Tafseer Mufti Ahmed Yaar Khan Na'eemi Alaihir Rahmah)

By:Gulshan E Fatima


Comments