◆IsLaami Zindagi◆ Post-40

◆ISLAAMI ZINDAGI◆ POST-40

◆ Biyah Shadi Ki IsLami Rasme'n

Dusri Fasl

◆ Nikah Aur Rukhsat Ki Rasme'n
•In Rasoom Ki Kbarabiya'n

•Tisri Kharabi In Rasumo'n Me'n Hai Ke Inki Waja Se Shareef Gharibo'n Ki Ladkiya'n Bethi Rehti Hain Aur MaalDaaro'n Ki Ladkiya'n Thikane Lag Jati Hain Kyunke Log Apne Beto'n Ka Paigham Waha'n Hi Le Jate Hain Jaha'n Zyada Jahez Mile Agar Har Jaga Ke Liye Jahez Muqarrar Hojaye Ke Ameer-O-Ghareeb Sab Itna Hi Jahez Waghairah De'n To Har Musalman Ki Ladki Jald Thikane Lag Jayegi.

•Chauthi Kharabi Ye Hai Ke In Rasomo'n Ki Waja Se Musalmano'n Ki Apni Aulaad Wabaal Jaan Ma'aloom Hone Lagi Ke Agar Kisi Ke Ladki Paida Huwi Samjha Ke Ya To Ab Mere Makaan Ki Khabar Nahi Ya Jaayedaad -O-Dukaan Chali. Isliye Log Ladki Paida Hone Par Ghabrate Hain Ye In Rasomo'n Ki Barkat Hai. AllahuAkbar

▶To be Continued ............... In Shaa Allah

Ref: Islami Zindagi
Az: Hakeemul Ummat Shaikhul Tafseer Mufti Ahmed Yaar Khan Na'eemi Alaihir Rahmah)

By:Gulshan E Fatima

Comments