◆IsLaami Zindagi◆ Post-41

◆ISLAAMI ZINDAGI◆ POST-41

Baab-4

◆ Biyah Shadi Ki IsLami Rasme'n

Dusri Fasl

◆ Nikah Aur Rukhsat Ki Rasme'n
•In Rasoom Ki Kbarabiya'n

•Paanchvin Kharabi Ye Hai Ke Nikah Se Maqsood Hota Hai Do Qaumo'n Ka Mil Jana Yaani Ladke Wale Ladki Ke Qarabat_Daar Aur Muhib Ban Jaye Aur Ladki Wale Ladke Wale Ke. Isliye Iska Naam Nikah Hai. Nikah Ke Maani Hain Mil Jana. To Ye Nikah Qabilo'n Aur Jama'ato'n Ke Milane Wali Cheez Hai. Misl Mash'hoor Hai Ke Nikah Me'n Ladke De Kar Ladka Lete Hain Aur Ladka De Kar Ladki Haasil Karte Hain
Magar Ab Musalman Ne Samajh Liya Ke Nikah Maal Haasil Karne Ka Zari'ah Hai Jiske Chaar Farzand Hogaye Wo Samjha Ke Meri Chaar Jayedade'n Hogaye'n Ke Inka Biya Honga Jahezo'n Se Ghar Bhar Lunga Ab Jab Dulhan Khautir Khwah Jahez Na Laayi , Ladayi Qaayim Hogayi Aur Ab Aam Taur Par Nikah Ladayi Ki Jad Ban Kar Reh Gaya Hai Ke Apne Azizo'n Me'n Ladki Do To Aapas Ka Purana Rishta Bhi Khatam Hojata Hai Kyun? Isliye Ke Nikah Ko Ek Maali Karobar Samajh Liya Gaya Hai.

▶To be Continued ............... In Shaa Allah

Ref: Islami Zindagi
Az: Hakeemul Ummat Shaikhul Tafseer Mufti Ahmed Yaar Khan Na'eemi Alaihir Rahmah)

By:Gulshan E Fatima

Comments