◆IsLaami Zindagi◆ Post-42

◆IsLaami Zindagi◆ Post-42

Baab-4
◆ Biyah Shadi Ki IsLami Rasme'n

Dusri Fasl

◆ Nikah Aur Rukhsat Ki Rasme'n
•In Rasoom Ki Kbarabiya'n

•Chatti Kharabi Ye Hai Ke Agar Kisi Shakhs Ke Chand Aulaad Hain Pehle Ka Nikah To Bahot Dhoom Dhaam Se Kiya. Us Nikah Me'n Uska Musaleha Khatam Ho Ya Baqi Aulaad Ke Faqat Nikah Hi Huwe. Koyi Rasam Ada Na Huwi Kyunke Rupeya Na Tha To Ab Is Aulaad Ko Maa'n Baap Se Shikayat Paida Hoti Hai Ke Hamare Bade Bhai Me'n Kya Khubi Thi Jo Ham Me'n Na Thi To Baap Aur Aulaad Me' Aisi Bigdi Hai Ke Khuda Ki Panah !

•Saatvi'n Kharabi Ye Hai Ke Ladki Walo'n Ne Dulha Ke Nikah Ke Waqt Itna Kharch Karaya Ke Uska Makaan Bhi Rahan Hogaya. Bahot Qarza Sarpar Sawar Hogaya. Ab Dulhan Saheba Jab Ghar Me'n Aaye'n To Makaan Hath Se Gaya Aur Musibt Bhi Aa Padi. To Naam Ye Hota Hai Ye Dulhan Aisi Manhoos Aayi Ke Iske Aate Hi Hamare . Ghar Ki Khair-o-Barkat Ud Gayi. Isse Phir Ladayiya'n Shuru Hojati Hain. Ye Khabar Nahi Ke Be-Chari Dulhan Ka Qusoor Nahi Balke Tumhari In Hinduwani Rasmo'n Ki Barkt Hai.

▶To be Continued ............... In Shaa Allah

Ref: Islami Zindagi
Az: Hakeemul Ummat Shaikhul Tafseer Mufti Ahmed Yaar Khan Na'eemi Alaihir Rahmah)

Comments