mansoor bin hallaj sufi koun tha.. kiya ye wahi hai jis ne apne ap ko ana la haq kha tha...imam yousuf ne qatal ka hukm diya tha...qatal hone ke baad is ke khoon ke katra katra analhaq kaheta tha..wazahat farmaye tafseel baqsh jawab ata kare...
Suwal
mansoor bin hallaj sufi koun
tha.. kiya ye wahi hai jis ne apne ap ko ana la
haq kha tha...imam yousuf ne qatal ka hukm
diya tha...qatal hone ke baad is ke khoon
ke katra katra analhaq kaheta tha..wazahat
farmaye tafseel baqsh jawab ata kare...
Jawab:
Hazrat sayyidi hussain bin mansoor hallaj
jin ko Awaam mansoor kehte hain, mansoon
unke walid ka Naam tha aur unka ism husain,
ye akbir ahle haal se the Or allah ke wali the.
Mukhtasar byan kiya jata hai ki, Jab aapki
behen ne wo pyala jo asman se utra tha piya
To apne bhi peene ki farmaish ki, To apki behen
ne kuch apke liye bacha diya. Jab apne wo piya
to apko har taraf se ye awaz sunai dene lagi ki
"kaun iska zyada haqdar hai ki hamari raah me
qatl kiya jaye" Unhone kaha "ana lahaqbeshaq me sabse zyada Iska sazawar hun, or
logo ke sunne me aya, Unhone "Anal al haq"kaha jiska matlab hota hai "main khuda hu" Wo
dawa e khudai samajh kar kufr samjhe or qatl
ki saza di. Or ye bhi yaad rakhna chahiye ki baz
waqt wali apni alag kefiyat Me hota hai agar
aisi halat me usse kufr bhi nikal jaye to Kufr
ka hukm nahi hota, kyunki us waqt wo shariat
ka mukallaf Nahi hota, Hussain bin mansoor
kafir nahi the. Musalman waliullah hai, Khud
deoband ke mufti ne Fatawa Rashidiya 187
par likha ki Mansoor mazoor the behosh ho
gaye the un par kufr ka fatwa nahi Qatl be
bad khoon ke katra katra analhaq kehta tha..
ye mujhe yaad nahi Balki Fatawa Uttarakhand
Page: 53 par hai, Unhe sooli chada diya gaya..
Agar yahi haq hai to sooli pe Chadane se khoon
nahi behta.. Baki allah behtar janne wala hai..
Reference:Masail ~E~Shariat, jild:1, sawal no 74
Comments
Post a Comment