Hazrat Maulana Shaah Muhammad Ibrāheem Khushtar Siddeeqi rahmatullāhi alaihi. roman
Hazrat Maulana Shaah Muhammad Ibrāheem Khushtar Siddeeqi rahmatullāhi alaihi :
Laqab :
Fakhr-ul-Islaam.
Aap ki wilaadat 7 Shawwaal 1348 Hijri (8 March 1930 A.D.) ko Bengal me hui.
Aap ke waalid ka naam Muhammad Siddeeqi aur waalida ka naam Khadeeja hai.
Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu ki nasl se hain.
Aap ke waalid East India Railway me kaam karte the.
1354 Hijri (1936 A.D.) me Aap ke waalid ka inteqaal hua.
*******************
Zil Qa’ada 1358 Hijri (January 1940 A.D.) Aap ne Masjid Mahalla Wali Ganj, Jamalpur (Bihar) me ta’aleem haasil ki aur 1362 Hijri (January 1943 A.D.) Aap Haafize Qur’an hue aur pehli namaaze Taraaweeh padhai.
Phir Masjid Mahalla Wali Ganj, Jamalpur me Urdu, Faarsi aur Ilme Riyaazi (Mathematics) ki taa’leem haasil ki.
1363 Hijri (1944 A.D.) me Aap ne Bareilly me ta’aleem haasil ki.
Phir kuchh waqt Bareilly me Imaamat ki.
1364 Hijri (1945 A.D.) me Masjid Mohalla Nalapar, Jamalpur (Bilhar) me tashreef laaye.
Ramazaan 1365 Hijri (1946 A.D.) me Neemwali (Khooni) Masjid, Jamalpur me tashreef le gaye.
1367 Hijri (1948 A.D.) me Police Line Masjid, Dinajpur me tashreef le gaye.
1371 Hijri (1952 A.D.) me Masjid Mohalla Thaliwalaan, Bareilly me tashreef laaye aur Arabi aur Faarsi ki mazeed ta’aleem haasil ki. Aur English me Matric kiya.
1372 Hijri (1953 A.D.) me Lyallpur (Pakistan) tashreef laaye aur Masjid-e-Chauk me qayaam karke Graduation ki padhai shauru ki.
1374 Hijri (1955 A.D.) me Badami Masjid, Karachi me tashreef laaye.
17 Sha’abaan 1375 Hijri (31 March 1956 A.D.) ko Lyallpur (Pakistan) me Darse Nizaami ki ta’aleem mukammal ki.
1375 Hijri (1956 A.D.) me Hazrat Mohaddeeṡ e aazam e Pakistan Maulana Sardaar Ahmad rahmatullāhi alaihi ke saath Hajj ada kiya.
1376 Hijri (1957 A.D.) me Hazrat Mufassir e aazam Maulana Muhammad Ibrāheem Raza Khan Jeelaani Miyan rahmatullāhi alaihi ne Aap ko khilaafat ata farmai.
********************
1376 Hijri (1958 A.D.) me Daar-ul-Uloom Rahmania, Karachi (Pakistan) ke Sadr aur Naazim anur Jaame Masjid Gujarkhan, Rawalpindi (Pakistan) ke Khateeb bane.
3 Sha’abaan 1377 Hijri (23 February 1958 A.D.) me Rawalpindi me Aap ka nikaah hua.
1378 Hijri (1959 A.D.) me Jaamia Sharqia Razawia aur Jaame Masjid, Montgomery (Pakistan) ke Sadr aur Naazim bane.
3 Jamaadi-uṡ-Ṡaani 1383 Hijri (1964 A.D.) ko Hazrat Maulana Ejaaz Wali Khan Razawi rahmatullāhi alaihi ne Khilaafat ata farmai.
Ramazaan 1383 Hijri (1964 A.D.) me Hanafi Jum'ah Masjid, Colombo (Sri Lanka) tashreef le gaye.
8 Sha’abaan 1384 Hijri (1965 A.D.) ko Bareilly me Huzoor Mufti e aazam e Hind Muhammad Mustafa Raza Khan rahmatullāhi alaihi ne Khilaafat ata farmai.
****************
28 Sha’abaan 1384 Hijri (2 January 1965 A.D.) ko Aap Mauritius tashreef laaye aur Jum'ah Masjid me Imaam aur Khateeb bane.
22 Jamaadi-uṡ-Ṡaani 1385 Hijri (17 October 1965 A.D.) ko Sunni Razawi Society International ki Shaakh shuru ki.
17 Moharram 1387 Hijri (28 April 1967 A.D.) ko Aap ne Sunni Razawi Academy ki bunyaad rakhi. Is idaare ka usool yeh tha ki “Ilm sikhne ke liye aao aur baahar jaakar khidmate deen karo [Come in to learn, Go out to serve].
12 Rabi-ul-Awwal 1387 Hijri (20 June 1967 A.D.) ko Aap ne Taher Bagh me Jashne Meelaad-un-Nabi sallallāhu alaihi wa sallam muna’aqid kiya jis me taqreeban 50000 log shareek hue.
16 Rabi-ul-Awwal 1388 Hijri (14 June 1968 A.D.) ko South Africa tashreef le gaye.
1388 Hijri (1969 A.D.) me dusri martaba Hajje Baitullāh ada kiya. Aur East Africa aur Pakistan bhi gaye.
29 Sha’abaan 1388 Hijri (10 November 1969 A.D.) me Natal me 7000 logo ke majme me taqreer farmai.
1393 Hijri (January 1974 A.D.) me teesri martaba Hajje Baitullāh ada kiya.
Is dauraan Hazrat Maulana Zia-ud-deen Ahmad Razawi Madani rahmatullāhi alaihi ne Aap ko khilaafat ata farmai.
25 Moharram 1394 Hijri (18 February 1974 A.D.) ko Baghdad tashreef le gaye.
Jamaadi-ul-Awwal 1395 Hijri (June 1975 A.D.) me Lancashire (Nelson, UK) tashreef le gaye.
27 Rabi-ul-Awwal 1395 Hijri (23 January 1982 A.D.) ko Aap Ajmer dargah par tashreef laaye.
12 Jamaadi-ul-Awwal 1402 Hijri (8 March 1982 A.D.) ko Durban (South Africa) me Khaanqaah Qaadria Razawiya ki ibtida ki.
1403 Hijri (1983 A.D.) Mesnil (Mauritius) me Khaanqaah Qaadria Razawiya ki ibtida ki.
6 Zil Hijjah 1405 Hijri (23 August 1985 A.D.) ko Vallee Pitot me Mauritius Sunni Razawi Eidgaah aur Qaadri Razawi Central Masjid ta’ameer ki.
1407 Hijri (1987 A.D.) me Hazrat Maulana Mufti Taqaddus Ali Khan Razawi rahmatullahi alaihi n bhi Aap ko khilaafat ata farmai.
1408 Hijri (1988 A.D.) me Pietermaritzburg (South Africa) me Sunni Razawi Jaame Masjid ta’ameer ki.
1420 Hijri (2001 A.D.) me Pakistan me Faalij [Stroke] ka aṡar hua. Manchester (UK) me ilaaj se theek ho gaye.
****************
Aap har jumeraat aur peer ke roz Halaqa e Zir muna’aqid farmaate.
Aap har saal Eid-e-Meelaad-un-Nabi, Eid-ul-Ghauṡiya [11wi shareef], Khwaja Ghareeb nawaaz, Imaame aazam Abu Haneefa aur Aala Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan ke Urs shaan se manaate.
****************
Aap ne 3 martaba Hajje Baitullāh ada kiya :
(1) 1375 Hijri (1956 A.D.) me,
(2) 1388 Hijri (1969 A.D.) me,
(3) 1393 Hijri (1974 A.D.) me.
****************
Aap ki likhi hui mash'hoor kitaaben :
(1) Qaseem-e-Bukhshish [Na’at o manqabat ka majmua],
(2) Tazkira-e-Jameel [Hazrat Hujjat-ul-Islaam Maulana Muhammad Haamid Raza Khan rahmatullāhi alaihi ki Sawaaneh Hayaat].
****************
Pariwaar :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ka nikaah Sayyeda Amatul Qaadir se hua.
Aap ke 4 saahabzaade aur 4 saahabzaadiya hain.
Saahabzaade :
(1) Muhammad Mas'ood Azhar
(2) Muhammad Miyan (6 din ki umr me intiqaal hua)
(3) Muhammad Husain Raza Anwar urfe Muhammad Miyan
(4) Ahmad Saeed-ur-Raza At'har urfe Amman Miyan.
Saahabzaadiya :
(1) Mas'ooda Khushtar
(2) Soaida Khushtar
(3) Suoodah Khushtar
(4) Saeeda Khushtar (20 din ki umr me intiqaal hua).
****************
Aap Hazrat Mohaddeeṡ e aazam e Pakistan Maulana Sardaar Ahmad rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Hazrat Mufti e aazam e Hind Mustafa Raza Khan Bareilwi rahmatullāhi alaihi, Hazrat Maulana Zia-ud-deen Ahmad Madani rahmatullāhi alaihi, Hazrat Mufassir e aazam Maulana Muhammad Ibrāheem Raza Khan Jeelaani Miyan Bareilwi rahmatullāhi alaihi, Hazrat Maulana Ejaaz Wali Khan Razawi rahmatullāhi alaihi, aur Hazrat Maulana Mufti Taqaddus Ali Khan Razawi rahmatullahi alaihi ne bhi Aap ko khilaafat ata farmai hai.
Aap ke khalifa Hazrat Maulana Muhammad Mas'ood Azhar hain.
****************
Aap ka wisaal 5 Jamaadi-uṡ-Ṡaani 1423 Hijri (15 August 2002 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Eidgaah, Vallee Pitot, Port Louis (Mauritius) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Maulana Shaah Muhammad Ibrāheem Khushtar Siddeeqi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
Comments
Post a Comment