Sahaba ka bayan

Sahaaba ka bayaan :
Sahaaba ki fazeelat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Qur’an :
9 Surah al-Taubah, Aayat 100 :
Aur Sabqat karke Sab se pehle eimaan laane waale Muhaajireen aur Ansaar [madadgaar] aur darja e ehsaan ke saath [mukammal taur par] un [Rasool] ki pairwi karne waale , ALLĀH un se raazi ho gaya aur wo un se raazi ho gaye aur us ne un ke liye jannaten tayyaar kar rakhi hai jin ke neeche nehren beh rahi hain, Wo un me hamesha hamesha rehne waale hain, Yehi zabar-dast kaamyaabi hai.
9 Surah al-Tauba, Aayat 20 :
Jo log eimaan laaye aur unho ne hijrat ki aur ALLĀH ki raah me apne maalo aur apni jaano se jihaad karte rahe wo ALLĀH ki baargaah me darje ke lihaaj se bahot bade hain, Aur wo hi log hi muraad ko pahunche hue hain.
59 Surah a-Hashr, Aayat 8-9 :
Naadaar muhaajireen ke liye hai jo apne gharo aur apne maalo se baahar nikaal diye gaye hain, Wo ALLĀH ka fazl aur us ki raza wa khush-nudi chaahte hain aur ALLĀH aur us ke Rasool k madad karte hain, Yehi log sache mo’min hain.
Jinho ne un (muhajireen) se pehle hi shaher (e Madeena) aur eimaan ko ghar bana liya tha, Ye log un se mohabbat karte hain jo un ki taraf hijrat karke aaye hain, Aur ye apne seeno me us (maal) ki nisbat koi talab nahi paate jo un (muhajireen) ko diya jaata hai aur apni jaano par unhe tarjeeh dete hain agarche khud unhe shadeed zaroorat hi hai, Aur jo shakhs ane nafs ke bukhl se bacha liya gaya pas wohi log ba-muraad wa kaamyaab hain.
Hadeeṡe Nabawi :
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya,
“Mere ashaaba sitaaro ke maanind hain, Jis ki bhi pariwi karoge hidaayat paaoge.”
( Tirmizi, Jild -2, Safa -227)
****************
Sahaabi e Rasool ki ta’areef :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Sahaabi woh Mo’min hai jis ne Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ki sohbat ki sa’adat haasil ki hai ya’ani jis ne eimaan ke saath Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ka deedaar kiya aur eimaan ke saath khaatma [inteqaal] hua.
****************
›› Tamaam sahaaba Khair-ul-Ummat hain aur afzal aur mohtaram hain. Un ka zikr khair ke saath karna laazmi hai.
›› Yeh martaba in Hazraat ko nisbat e Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ki wajah se mila hai.
Kisi bhi Imaam ya Wali ko yeh martaba haasil nahi.
****************
›› Sahaaba ke 4 tabqe hain :
(1) As-Saabiqoon al-Awwaloon (7 Nabawi tak eimaan laane waale [Hazrate Khadeejatul kubra se Hazrate Umar Faarooq radiy-Allāhu ta’ala anhu tak] pehle 40 sahaaba),
(2) Ashaab-ut-Kibaar - Hijrate Nabawi ke qabl [13 Nabawi tak] eimaan laane waale sahaaba,
(3) Fatah Makka ke pehle [1 Hijri se Ramazaan 8 Hijri tak] eimaan laane waale sahaaba,
(4) Ashaab-ut-Tulaqa’a - Fatah Makka ke baad eimaan laane waale sahaaba.
****************
›› 3 Nabwi (613 A.D.) me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke farmaan par Habasha (Abyssinia) ki taraf hijrat-ul-Awwal me Muhaajireen ke qaafile me 11 musalman mard aur 4 aurte shaamil the.
5 Nabawi (615 A.D.) me musalmano ke giroh ne dusri martaba Habasha (Abyssinia) ki taraf hijrat-uṡ-Ṡaani me Muhaajireen ke qaafile me 87 mard aur 17 aurten shaamil the.
Rabi-ul-Awwal 13 Nabawi (622 A.D.) me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Makkah se Madeenah hijrat ki. Is se qabl aur is ke baad sahaaba bhi hijrat karke Madeena aaye.
Hijrat-ul-Habasha aur Hijrat-ul-Madeenah dono me shareek hone waale sahaaba ‘Saahib-ul-Hijratain’ kaha jaata hai.
Makka se hijrat karke jo sahaaba Madeena pahunche wo ‘Muhaajir’ kehlaaye. Muhaajireen ko madad karne waale Madeena ke sahaaba ‘Ansaar’ kehlaaye.
****************
Sahaaba ke baare me chand khaas baaten :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Mardo me sab se pehle Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu, aurto me sab se pehle Hazrate Khadeejatul kubra radiy-Allāhu ta’ala anha, bacho me sab se pehle Hazrat Ali ibn Abu Taalib radiy-Allāhu ta’ala anhu aur ghulaamo me Hazrat Zaid ibn Haariṡa radiy-Allāhu ta’ala anhu eimaan laaye.
(2) Ashra e mubashshira ya’ani wo 10 khush-naseeb sahaaba Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne sahaaba ki mehfil me Jannat ki bashaarat ata farmai hai :
[1] Hazrat Abu Bakr Siddeeq, Abdullāh ibn Uṡmaan radiy-Allāhu ta’ala anhu (Alqaab : Siddeeq e Akbar, Ateeq)
[2] Hazrat Umar ibn Khattaab radiy-Allāhu ta’ala anhu (Laqab : Faarooq e Aazam)
[3] Hazrat Uṡmaan ibn Affaan radiy-Allāhu ta’ala anhu (Alqaab : Ghani, Zun-Noorain)
[4] Hazrat Ali ibn Abu Taalib radiy-Allāhu ta’ala anhu (Alqaab : Asadullāh fil ghaalib, Maula e kaa'inaat)
[5] Hazrat Talha ibn Ubaidullāh radiy-Allāhu ta’ala anhu
[6] Hazrat Zubair ibn Awwaam radiy-Allāhu ta’ala anhu (Laqab : Hawaari-ul-Rasool)
[7] Hazrat Abdur Rahmān ibn Awf radiy-Allāhu ta’ala anhu
[8] Hazrat Sa’aad ibn Abi Waqqaas radiy-Allāhu ta’ala anhu
[9] Hazrat Abu Ubaida, Aamir ibn Abdullāh ibn Jarrah radiy-Allāhu ta’ala anhu (Laqab : Ameen-ul-Ummat)
[10] Hazrat Sa’ad ibn Zaid radiy-Allāhu ta’ala anhu.
(3) Hazrat Abu Zar Jundub ibn Junaada al-Ghaffaari, Hazrat Miqdaad bin Aswad, Hazrat Ammaar ibn Yaasir aur Hazrat Salmaan al-Faarsi radiy-Allahu ta’ala anhuma ko Mo’mino ke 4 sutoon kaha gaya hai.
Roze mehshar jab ALLĀH ta’ala Hazrate Eisā alaihis salaam ki qaum me se aur Huzoor Rasool-Allāh Muhammad Mustafa sallallahu alaihi wa sallam ki ummat me se un logo bulaayega jo apne nabi ke bataaye hue deen par ṡaabit qadam rahe tab Hazrate Eisā alaihis salaam ke hawaariyo ko aur Ummat e Muhammadi me se in 4 sahaaba ko aage kiya jaayega.
(4) Ek martaba Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
“Har Nabi ke saath barguzida nigehbaan hote hain, Jab ke mujhe 14 ata kiye gaye hain.” Ashaaba ne arz kiya “Wo kaun hain?”
Aap sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya “Ali, Hasan, Husain, Ja’afar, Hamza, Abu Bakr, Umar, Mus'ab bin Umair, Bilaal, Salmaan, Ammaar, Abdullāh bin Mas'ood, Abu Zar aur Miqdaad.”
(Tirmizi, Hadeeṡ -3785)
(5) Sab se pehle Shaheed hone waali Sahaabiya Hazrate Sumayya bint Khayyaat al-Makhzumi radiy-Allāhu ta’ala anha hain aur un ke baad un ke shohar Hazrate Yaasir ibn Aamir radiy-Allāhu ta’ala anhu shaheed hue. Unhe Abu Jahel ne shaheed kiya tha.
Hazrate Haariṡ ibn Abi Haala radiy-Allāhu ta’ala anhu shaheed hone waale teesre sahaabi hain aur Haram me shaheed hone waale pehle naujawaan sahaabi hain.
(6) 3 Nabwi (613 A.D.) me Hijrat ul Habasha e Awwal me shareek hone waale 15 sahaaba :
[1] Hazrat Uṡmaan ibn Affaan radiy-Allāhu ta’ala anhu
[2] Hazrat Ruqayya bint Muhammad (sallallāhu alaihi wa sallam) radiy-Allāhu ta’ala anha (Zauja e Hazrat Uṡmaan ibn Affaan)
[3] Hazrat Sa’ad ibn Abi Waqqaas radiy-Allāhu ta’ala anhu
[4] Hazrat Zubair ibn Awwaam radiy-Allāhu ta’ala anhu
[5] Hazrat Abdur Rahmān bin Awf radiy-Allāhu ta’ala anhu
[6] Hazrat Uṡmaan bin Maz'oon radiy-Allāhu ta’ala anhu
[7] Hazrat Mus'ab ibn Umair radiy-Allāhu ta’ala anhu
[8] Hazrat Abdullāh ibn Jahsh radiy-Allāhu ta’ala anhu
[9] Hazrat Jahsh ibn Riyab radiy-Allāhu ta’ala anhu
[10] Hazrat Abu Huzaifa ibn Utba radiy-Allāhu ta’ala anhu
[11] Hazrat Sahla bint Suhail radiy-Allāhu ta’ala anha (Zauja e Hazrat Abu Huzaifa ibn Utba)
[12] Hazrat Abu Salama, Abdullāh ibn Abdul Asad radiy-Allāhu ta’ala anhu
[13] Hazrat Umm Salama, Hind binte Suhail radiy-Allāhu ta’ala anha (Zauja e Hazrat Abu Salama, Abdullāh ibn Abdul Asad)
[14] Hazrat Aamir bin Rabiah radiy-Allāhu ta’ala anhu
[15] Hazrat Laila bint Abi Asmah radiy-Allāhu ta’ala anha (Zauja e Hazrat Aamir bin Rabiah).
(7) 11 Nabawi (621 A.D.) me Bai'at-ul-Aqaba awwal me shareek hone waale Ansaar sahaaba :
[1] As'ad bin Zurarah al-Khazraji
[2] Awf bin Haariṡ al-Khazraji
[3] Mu'aaz bin Haariṡ al-Khazraji
[4] Dhakwan bin Abdul Qays al-Khazraji
[5] Raafi' bin Maalik al-Khazraji
[6] Ubada bin Samit al-Khazraji
[7] Yazeed bin Ṡa'laba al-Khazraji
[8] Abbaas bin Ubada al-Khazraji
[9] Uqba bin Aamir al-Khazraji
[10] Qutba bin Aamir bin Hadida al-Khazraji
[11] Abul Hayṡam bin Tayyihan al-Awsi
[12] Uwaym bin Sa'eeda al-Awsi.
Bai'at ke baad Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrat Mus'ab bin Umair radiy-Allāhu anhu ko ta’aleem ke liye Yaṡrib (Madeena) bheja.
(8) Hijrat-un-Nabi sallallāhu alaihi wa sallam ke mauqe par Hazrat Ali Murtaza radiy-Allāhu ta’ala anhu ko Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam bistar par sone ki sa’adat haasil hui aur Hazrate Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu ko safar me Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ke saathi banne ki sa’adat haasil hui.
Hazrat Abu Ayyoob, Khaalid al-Najjaari radiy-Allāhu ta’ala anhu ko ‘Mezbaan-e-Rasool’ banne ki sa’adat haasil hui.
(9) Shohada e Badr :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
[1] Hazrat Muhajja bin Saalih al-Muhaajiri radiy-Allāhu ta’ala anhu
[2] Hazrat Umair bin Abi Waqqaas al-Muhaajiri Radi-Allāhu ta’ala anhu
[3] Hazrat Safwaan bin Wahb al-Muhaajiri radiy-Allāhu ta’ala anhu
[4] Hazrat Zish-Shimaalain bin Abdi Amr al-Muhaajiri radiy-Allāhu ta’ala anhu
[5] Hazrat Aaqil bin Bukair al-Muhaajiri radiy-Allāhu ta’ala anhu
[6] Hazrat Ubaida bin Haariṡ al-Muhaajiri radiy-Allāhu ta’ala anhu
[7] Hazrat Sa’ad bin Khaisama al-Awsi radiy-Allāhu ta’ala anhu
[8] Hazrat Mubashshir bin Abdul Munzir al-Awsi radiy-Allāhu ta’ala anhu
[9] Hazrat Umair bin Hamaam al-Khazraji radiy-Allāhu ta’ala anhu
[10] Hazrat Haariṡa bin Suraaqa al-Khazraji radiy-Allāhu ta’ala anhu
[11] Hazrat Raafi' bin Mu'alla al-Khazraji radiy-Allāhu ta’ala anhu
[12] Hazrat Yazeed bin Haariṡ bin Fus'hum al-Khazraaji radiy-Allāhu ta’ala anhu
[13] Hazrat Muaawwiz bin Haariṡ al-Khazraji radiy-Allāhu ta’ala anhu
[14] Hazrat Awf bin Haariṡ al-Khazraji radiy-Allāhu ta’ala anhu.
(10) Hazrat Jibr'eel alaihis salaam Hazrat Dihyah ibn Khalifah al-Kalbi radiy-Allāhu ta’ala anhu ki soorat me Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ki khidmat me tashreef laate the.
(11) Hazrat Hanzala ibn Abi Aamir radiy-Allāhu ta’ala anhu ka laqab ‘Ghaseel-ul-Malaa'ika’ (ya’ani jis ko farishto ne ghusl diya) hai aur Hazrat Aamir bin Fuhaira radiy-Allāhu ta’ala anhu ka laqab ‘Dafeen-ul-Mala
a'ika’ (ya’ani jis ko farishto ne dafn kiya) hai.
(12) Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya ke “Qur’an [Qira’t] agar sikhna hai to Abdullāh ibn Mas'ood, Saalim Mawla Abu Huzaifa, Ubay ibn Kaab aur Muaz ibn Jabal se sikho.”
(13) Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke khaas Na’at khwaan :
[1] Hazrat Hassaan bin Ṡaabit radiy-Allāhu ta’ala anhu
[2] Hazrat Abdullāh ibn Rawaahah radiy-Allāhu ta’ala anhu
[3] Hazrat Kaab bin Maalik radiy-Allāhu ta’ala anhu.
(14) Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke Muazzin :
[1] Hazrat Bilaal ibn Rabah aur Hazrat Abdullāh ibn Umme Maktum radiy-Allāhu ta’ala anhuma (naabina) (Masjide Nabawi me)
[2] Hazrat Sa’ad bin Aa'id radiy-Allāhu ta’ala anhu (Masjide Quba me)
[3] Hazrat Abu Mahdura radiy-Allāhu ta’ala anhu (Masjide Haraam me) .
(15) 2 sahaaba ke pichhe Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne namaaz padhi hai :
[1] Hazrat Abdur Rahmān bin Awf radiy-Allāhu ta’ala anhu ke peeche Safar me Namaaz e Fajr padhi.
[2] Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu ke peeche Haalat e marz me 3 namaazen padhi.
(16) Radeef-un-Nabi ya’ani wo sahaaba jin ko Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke saath sawaari par baithne ki sa’adat haasil hui :
[1] Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu (Hijrat ke waqt Quba se Madeena jaate waqt)
[2] Hazrat Marṡad ibn Abi Marṡad Kannaaz al-Ghanawi radiy-Allāhu ta’ala anhu (Junge Badr ke liye jaate waqt)
[3] Hazrat Saeed ibn Zaid radiy-Allāhu ta’ala anhu (Fatah Makka ke baad Makka me daakhil hote waqt)
[4] Hazrat Usama bin Zaid radiy-Allāhu ta’ala anhu (Hajjatul Widaa ke mauqe par Arafaat se Muzdalifa tak)
[5] Hazrat Fazl ibn Abbaas radiy-Allāhu ta’ala anhu (Hajjatul Widaa ke mauqe par Muzdalifa se Mina tak)
[6] Hazrat Ubaidullāh ibn Abbaas radiy-Allāhu ta’ala anhu
[7] Hazrat Quṡam ibn Abbaas radiy-Allāhu ta’ala anhu
[8] Hazrat Abdullāh ibn Ja’afar radiy-Allāhu ta’ala anhu
[9] Hazrat Muaaz bin Jabal radiy-Allāhu ta’ala anhu
[10] Hazrat Abu Zar Ghaffaari radiy-Allāhu ta’ala anhu
[11] Hazrat Salama Bin Akwah radiy-Allāhu ta’ala anhu
[12] Hazrat Uqba ibn Aamir radiy-Allāhu ta’ala anhu
[13] Hazrat Ṡaabit ibn Zahhaak al-Ash'haali radiy-Allāhu ta’ala anhu
[14] Hazrat Abu Ayas al-Saeedi radiy-Allāhu ta’ala anhu.
(17) Wo khush-naseeb saahaaba jin ko Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne apne haatho se qabr me utaara :
[1] Ummul mo’mineen Hazrate Bibi Khadeejatul kubra radiy-Allāhu ta’ala anhu
[2] (Hazrat Ali radiy-Allāhu ta’ala anhu ki waalida) Hazrate Faatima binte Asad radiy-Allāhu ta’ala anha
[3] (Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu ki zauja aur Hazrate Aa'isha Siddeeqa radiy-Allāhu ta’ala anha ki waalida) Umme Rumaan Zainab bint Aamir radiy-Allāhu ta’ala anha
[4] Hazrat Wahab ibne Kaboos radiy-Allāhu ta’ala anhu
[5] Hazrat Abdullāh Mujni radiy-Allāhu ta’ala anhu.
(18) Wo sahaaba jin ko 7 Hijri (629 A.D.) me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne apna safeer banakar khato ke saath islaam ki daawat ke liye alag alag mumaalik me bheja :
[1] Hazrat Amr bin Umayyah al-Damri radiy-Allāhu ta’ala anhu (Habasha [Abyssinia] ke baadshaah Ashama ibn Abjar ke darbaar me)
[2] Hazrat Dihyah bin Khalifa Kalbi radiy-Allāhu ta’ala anhu (Rum ke baadshah Kaisar [Heraclius] ke darbaar me)
[3] Hazrat Hateeb bin Abi Baltah radiy-Allāhu ta’ala anhu (Misr [Egypt] ke baadshaah Muqawqis ke darbaar me)
[4] Hazrat Allabn al-Hazermi radiy-Allāhu ta’ala anhu (Munzir bin Sawa al-Tameemi ke darbaar me)
[5] Hazrat Amr ibn al-Aas radiy-Allāhu ta’ala anhu (Oman ke baadshaah Abdul Jalandi ke darbaar me)
[6] Hazrat Sulait bin Umar radiy-Allāhu ta’ala anhu (Yamama ke baadshaah Hawza bin Ali ke darbaar me)
[7] Hazrat Shiya bin Wahab radiy-Allāhu ta’ala anhu (Damishq ke baadshaah Haariṡ bin Abi Shamir al-Ghassani ke darbaar me)
[8] Hazrat Abdullāh ibn Huzafah as-Sahmi radiy-Allāhu ta’ala anhu (Faars [Iran] ke baadshaah Khusro Ṡaani ke darbaar me)
[9] Hazrat Haariṡ bin Umair al-Azdi radiy-Allāhu ta’ala anhu (Bosra ke baadshaah ke darbaar me), (Jin ko maqaame Mu’tah par governor Sharjeel Ghassani ne shaheed kar diya).
(19) Wo sahaaba jin ko Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne alag alag mauqe par apna Naa'ib banaaya :
[1] Hazrat Zaid ibn Haariṡah radiy-Allāhu ta’ala anhu (2 Hijri me Ghazwa e Safwaan aur 5 Hijri me Ghazwa e Banu Mustaliq ke mauqe par)
[2] Hazrat Sa’ad bin Ubada (2 Hijri me Ghazwa e Abwa ke mauqe par)
[3] Hazrat Sa’ad bin Muaz radiy-Allāhu ta’ala anhu (Maarka e Buwat ke mauqe par)
[4] Hazrat Abu Salama, Abdullāh ibn Abdul Asad al-Makhzoomi radiy-Allāhu ta’ala anhu (Maarka e Zul-Ushayra ke mauqe par)
[5] Hazrat Abu Lubaaba, Basheer bin Abdul Munzir al-Awsi radiy-Allāhu ta’ala anhu (2 Hijri me Ghazwa e Badr ke mauqe par aur Maarka e Saweeq ke mauqe par)
[6] Hazrat Uṡmaan Ghani radiy-Allāhu ta’ala anhu (3 Hijri me Maarka e Banu Ghaftan aur 4 Hijri me Maarka e Zaat-ur-Riqa ke mauqe par)
[7] Hazrat Abdullāh ibn Rawaahah al- Khzraaji radiy-Allāhu ta’ala anhu (4 Hijri me Junge Badr al-Maw'id ke mauqe par)
[8] Hazrat Abdullāh ibn Umme Maktum radiy-Allāhu ta’ala anhu (3 Hijri me Ghazwa e Uhad, 5 Hijri me Ghazwa e Khandaq, Maarka e Banu Naadir, Maarka e Banu Qurayza, Maarka e Banu Liyhan, Maarka e Ghaba, 8 Hijri me Fatah Makka aur 10 Hijri me Hajjatul Wida ke mauqe par)
[9] Hazrat Siba bin Urfuta al-Ghaffaari radiy-Allāhu ta’ala anhu (Maarka e Dumatul Jandal aur Ghazwa e Khaibar ke mauqe par)
[10] Hazrat Abu Ruhm, Kulṡum al-Ghaffaari radiy-Allāhu ta’ala anhu (Umratul Qada aur Ghazwa e Taa'if ke mauqe par)
[11] Hazrat Muhammad bin Maslama al-Ansaari radiy-Allāhu ta’ala anhu (9 Hijri me Junge Tabook ke mauqe par).
(20) Fatah Makka ke mauqe par Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrat Abu Ubaidah, Aamir ibn Jarrah, Hazrat Zubair ibn Awwaam, Hazrat Ali al-Murtaza ibn Abu Taalib aur Hazrat Khaalid ibn Waleed radiy-Allāhu ta’ala anhuma ko islaami lashkar ke 4 giroh ke saalaar banaaye.
Fatah Makka ke baad Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam Hazrate Usaama bin Zaid, Hazrat Uṡmaan bin Talha aur Hazrat Bilaal Habashi radiy-Allāhu ta’ala anhuma ke saath Ka’abatullāh me daakhil hue aur ka’aba me maujood tamaam buto ko giraane aur door karne aur ka’aba ki deewaaro par maujood farishto ki aur dusri tasweeren mitaane ke liye farmaaya.
Is ke baad baahar tashreef laakar Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrat Uṡmaan bin Talha radiy-Allāhu ta’ala anhu aur un ki nasl ko ‘Sidanah’ (Ka’abatullāh ki nigraani aur khidmat) ki zimmedaari ata ki aur Hazrat Abbaas ibn Abdul Muttalib radiy-Allāhu ta’ala anhu aur un ki nasl ko ‘Siqayah’ (logo ko Zam zam peelaane) ki zimmedaari ata ki.
Phir Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrat Umar Faarooq radiy-Allāhu ta’ala anhu ke saath kohe Safa par khade hokar Ahle Makka se bai'at lena shuru kiya.
Makka se rawaana hone se pehle Hazrat Attab ibn Asid radiy-Allāhu ta’ala anhu ko Makka ka governor banaaya aur Hazrat Muaz bin Jabal radiy-Allāhu ta’ala anhu ko nau-musalmano ko Qur’an aur deene islaam ki ta’aleem ke liye muqarrar farmaaya.
(21) 9 Hijri me jab Hajj farz hua to Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu ko Ameer-ul-Hujjaaj banakar sahaaba ke saath bheja.
10 Hijri me Hajjatul Wida me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke saath taqreeban 1,24,000 sahaaba shareek hue.
Makka se waapas tashreef laate waqt Ghadeer e Khum par Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya “Jis ka main maula hu, Ali bhi us ka Maula hai.”
(22) Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ke wisaal ke baad Hazrat Abu Ubaida, Aamir ibn Abdullāh ibn Jarrah radiy-Allāhu ta’ala anhu aur Hazrat Abu Talha, Zaid Ansaari radiy-Allāhu ta’ala anhu ne Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ki qabr Mubarak tayyaar ki.
Hazrat Abbaas ibn Abdul Muttalib, Hazrat Fazl wa Hazrat Quṡam bin Abbaas, Hazrat Usaama bin Zaid, Hazrat Shaqran, Hazrat Ali ibn Abu Taalib aur Hazrat Aws bin Khawli radiy-Allāhu ta’ala anhu ne Aap ko ghusl diya aur Hazrat Abbaas ibn Abdul Muttalib, Hazrat Fazl wa Hazrat Quṡam bin Abbaas aur Hazrat Ali ibn Abu Taalib ne Aap ko qabr me utaara.
(23) Khulfa e Raashideen – Wo sahaaba jo Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ke wisaal ke baad Khalifa bane :
[1] Hazrat Abu Bakr Siddeeq, Abdullāh ibn Uṡmaan radiy-Allāhu ta’ala anhu
[2] Hazrat Umar Faarooq ibn Khattaab radiy-Allāhu ta’ala anhu
[3] Hazrat Uṡmaan Ghani ibn Affaan radiy-Allāhu ta’ala anhu
[4] Hazrat Ali Murtaza ibn Abu Taalib radiy-Allāhu ta’ala anhu.
*************
›› Sahaaba ke shaagird ‘Taabi'een’ kehlaate hain aur Taabi'een ke shaagird ‘Tabi-ul-Taabi'een’ kehlaate hain. Yeh 3 tabqe ‘Aslaaf’ me shumaar hote hain.
*************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me aur tamaam sahaaba ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ko hidaayat ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur tamaam sahaaba ki sachi aur pakki mohabbat ata farmae aur sahaaba ki tarah islaam ke liye qurbaani dene ka jazba ata farmae aur islaam ka bolbala ata farmae.
Aur in baato ko yaad rakhkar amal karne ki aur dusro ko bataane ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya aur aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Comments