Shohar our Biwi ke Huqooq

Shohar aur Biwi ke Huqooq :

Qur’an :
30 Soorah al-Room, Aayat 21 :
ﻭَﻣِﻦْ ﺁﻳَﺎﺗِﻪِ ﺃَﻥْ ﺧَﻠَﻖَ ﻟَﻜُﻢْ ﻣِﻦْ ﺃَﻧْﻔُﺴِﻜُﻢْ ﺃَﺯْﻭَﺍﺟًﺎ ﻟِﺘَﺴْﻜُﻨُﻮﺍ ﺇِﻟَﻴْﻬَﺎ ﻭَﺟَﻌَﻞَ ﺑَﻴْﻨَﻜُﻢْ ﻣَﻮَﺩَّﺓً ﻭَﺭَﺣْﻤَﺔً ۚ ﺇِﻥَّ ﻓِﻲ ﺫَٰﻟِﻚَ ﻟَﺂﻳَﺎﺕٍ ﻟِﻘَﻮْﻡٍ ﻳَﺘَﻔَﻜَّﺮُﻭﻥَ
Aur ye us ki nishaaniyon me se hai ki us ne tumhare liye tumhari hi jins se jode paida kiye taake tum un se sukoon [aaraam] paao aur us ne tumhare darmiyaan (aapas me) Mohabbat aur Rahmat rakhi, Beshak is me nisaaniyan hain un ke liye jo gaur wa fikr karte hain.
Qur’an :
2 Soorah Baqarah, Aayat 187 :
ﻫُﻦَّ ﻟِﺒَﺎﺱٌ ﻟَﻜُﻢْ ﻭَﺃَﻧْﺘُﻢْ ﻟِﺒَﺎﺱٌ ﻟَﻬُﻦَّ
Wo (biwiya) tumhare liye libaas hain aur tum un ke liye libaas ho.
›› Libaas insaan ki zinnat badhata hai aur us ke aib chhupata hai.
Isi tarah shohar aur biwi ko bhi ek dusre ke aib poshida rakhne chaahiye aur dusro ke saamne zaahir nahi karne chaahiye aur koi galti ho jaaye to narmi ke saath use sahi baat samjhani chaahiye aur galat fehmiyo ki wajah se paida hone wale ikhtelaaf aur fitne fasaad se hamesha bachna chaahiye aur ek dusre ki izzat ki hifaazat karni chaahiye aur ek dusre ki khubiya zaahir karni chaahiye aur khud bhi hamesha aise amal karne chahiye ke ek dusre ki izzat badhe.
***********
Shohar ke Huqooq Biwi par :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Hadeeṡe Nabawi :
(1) Ummul mo’mineen Hazrate Aa'isha Siddeeqa radiy-Allāhu anha wa Hazrat Abu Huraira radiy-Allahu anhu se riwaayat hai ki
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
“Agar main kisi ke liye Sajde ka hukm deta to Aurto ko hukm deta ki apne shohar ko sajda kare.”
(Tirmizi, Jild -1, Baab -788, Safa 594, Hadeeṡ -1158,
Mishkaat, Hadeeṡ -7)
(2) Ek sahaabi ne Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam se daryaaft kiya ki “Behtareen Aurat ki pehchaan kya hai?”
Aap ne farmaaya “Jo Aurat apne Shohar ki ita’at wa farmaan bardaari kare.”
(Nisaai, Jild -2, Safa -364)
(3) Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
“Jo Aurat panjgaana namaaz padhe, Ramazaan ke roze rakhe, apni izzat aabroo ki hifazat kare aur apne shohar ki farmaan bardaar ho wo to jannat ke darwazo me se jis darwaaze se chaahe daakhil ho jaaye.”
(4) Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
“Koi aurat baghair apne shohar ki ijazat ke nafli roza nahi rakh sakti.”
(Bukhari, Hadeeṡ -5192;
Muslim, Hadeeṡ -1026)
(5) Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
“Aurat apne shohar ki ijaazat ke baghair ghar se na nikle.”
(Abu Daawūd)
(6) Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
“Agar kisi aurat ka shohar raat ko us se naraaz hokar sota hai to wo puri raat rahmat ke farishto se mehroom rehte hain.”
(Bukhari, Jild -3, Baab -115, Safa -96, Hadeeṡ -178)
(7) Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
“Jis aurat ki maut aisi haalat me aaye ki marte waqt us ka shohar us se raazi ho to wo aurat jannat me jaayegi.”
(Tirmizi)
(8) Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
“Aurat par sab se zyada haq us ke Shohar ka hai aur Mard par sab se zyada haq us ki Maan ka hai.”
(Nasa'i, Hadeeṡ -9148)
Qaul :
Hazrat Ali radiy-Allāhu ta’ala anhu farmaate hain :
“Be-waqoof aurat apne Shohar ko apna Ghulaam banaati hai aur khud Ghulaam ki Biwi ban jaati hai. Aur aqlmand aurat apne Shohar ko Baadshaah banaati hai aur khud Baadshah ki Mallika ban jaati hai.”
Biwi ke Huqooq Shohar par :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Quran :
4 Soorah an-Nisaa, Aayat 19 :
Aur un (apni biwiyo) ke saath achha bartaav karo. Phir agar tum unhe na-pasand karte ho to mumkin hai ke tum kisi cheez ko na-pasand karo aur ALLĀH us me bahot si bhalai rakh de.
Hadeeṡe Nabawi :
(1) Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
“Nikaah ki shart [mehar] ada karne me sab se zyada khayaal rakho.”
(Bukhari, Jild -3, Safa -80)
(2) Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
“Tum par waajib hai ke tum apni aurto ke liye achhe tareeqe par rozi aur kapde ka intizaam karo.”
(Muslim, Hadeeṡ -3009)
(3) Ek sahaabi radiy-Allāhu anhu ne arz ki ‘Ya Rasool-Allāh “Biwi ka hum par kya haq hai?”
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya “Jab tum khaao to use khilaao aur jab tum pehno to use pehnaao aur munh par mat maaro aur us ko bura na kaho aur (kisi galti ki) saza ke liye ghar ke ilaawa us ko alaahida [juda] na karo (ya’ani maayke na bhejo).”
(Abu Daawūd)
(4) Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
“Tum par yeh laazim hai ki apni aurto par narmi o meharbaani karo, na in par zulm karo aur na in par tangi karo. Is liye ke jab Aurat par zulm kiya jaaye to ALLĀH ta’ala aisa hi naaraaz hota hai jaisa ki yateem (par zulm) ki wajah se naraaz hota hai.”
(Qart-ul-Uyoon wa Mafrah-ul-Qalb wa Mahzoon, Safa -83)
(5) Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
“Koi mo’min shohar apni biwi se nafrat na kare, us ki ek aadat pasand nai aati to dusri aur aadat pasand aayegi.”
(Muslim, Hadeeṡ -3721)
(6) Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
“Tum me sab se achhe wo log hain, jo apni biwiyon ke saath achha bartaav karte hain.”
(Tirmizi, Hadeeṡ -1162)
(7) Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
‘Sab se bura aadami woh hai jo apni biwi ko sataaye.”
(Tabraani)
(8) Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
“Tum me se koi apni biwi ko ghulaam ki tarah na maare.”
(Bukhari)
(8) Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
“Sab se kaamil eimaan us ka hai jis ke akhlaaq achhe hain aur jo apne biwi- bacho ke saath narmi se sulook kare.”
(Tirmizi)
(9) Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
“Jis shakhs ke nikaah me do biwiya ho aur un ke darmiyaan Adl aur baraabari ka Bartaw nahi kiya wo ek hi ki taraf maayel ho to woh qayaamat ke din jab aayega to us ka aadha badan Maflooz (faaliz laga huwa) hoga.”
( Tirmizi, Jild -1, Safa -584, Hadeeṡ -11370)
***********
Aurat ke Mard par huqooq me Mehar waqt par ada karna, Naan o nafqa (khaana wa zuroori kharch) dena, rehne ke liye Makaan dena, Us ke saath bhalaai ka bartaav karna, Use khilaaf e sharah baaton se bachaana ye saamil hain.
***********
Shohar aur Biwi ke liye in baato ko apnana khaas zaroori hai :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Aapas me mohabbat rakhen aur aitemaad (trust) rakhe aur narmi aur husn e sulook ke saath paish aaye.
(2) Ek dusre ki khubiyo par nazar rakhe aur aibo aur khaamiyo aur mamooli galtiyo ko nazar andaaz kare.
Ek dusre ke aib posheeda rakhe aur dusro ke saamne zaahir na kare.
(3) Ek dusre ko nek sahi mashwara de aur har nuqsaan se bachaye.
(4) Deendaari wa shariat ki taaqeed kare aur neki ki taraf raahnumai kare.
(5) Haya aur adab aur husn e akhlaaq ikhtiyaar kare aur aisa koi kaam na kare ke jis se dusre ki izzat kam ho aur ek dusre ki izzat ki hifaazat kare.
(6) Ek dusre ki jaa'iz zaroorato ka khayaal rakhe.
Mard halaal rizq kama kar laaye aur ghar ke akhrajaat ko pura kare
Aur Aurat uski halaal aamdaani me se khaane ka aur dusri zaroorato ka khayaal rakhe. Aur us ke halaal rizq par shukr aur sabr kare aur ghar ka, maal ka aur ahlo ayaal aur ghar waalo ka aur mehmaano ka khayaal rakhe aur fuzool kharchi na kare.
(7) Ek dusre ki jaa'iz khwaahisho ko pura kare.
(8) Ek dusre se wafadaari rakhe aur apne shareeke hayaat ke ilaawa kisi ghair aurat ya ghair mard ke baare me na soche.
(9) Ek dusre ke Rishtedaaro aur Dosto ya Saheliyo ki izzat kare aur un se husne sulook kare.
(10) Ranj o gam, museebat aur beemari me ek dusre ke saath rahe aur ek dusre ko madad kare aur tasalli aur sahaara de aur hosla afzai kare.
(11) Koi galti ho jaaye to narmi ke saath use sahi baat samjhaaye aur galat fehmiyo aur shak ki wajah se paida hone wale ikhtelaaf aur fitne fasaad se hamesha bachna chaahiye.
(12) ALLĀH ta’ala se ek dusre ke liye dunya aur aakhirat me bhalai ki aur khair o barkat ki aur salaamati ki dua kare.
***********
Behtareen Shohar ki pehchaan :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
● Jo deendaar aur paabande shariat ho aur huqooqullāh aur huqooq-ul-ibaad ko ada karta ho.
● Jo apni biwi ke saath narmi, khush akhlaaqi aur husn e sulook ke saath paish aaye.
● Jo apni biwi ke huqooq ada karne me kisi qism ki gaflat aur kotaahi na kare.
● Jo apni biwi ki khubiyo par nazar rakhe aur mamooli galatiyon ko nazar andaaz kare.
● Jo apni biwi ka is tarah hokar rahe ke kisi ajnabi aurat par nigaah na daale.
● Jo apni biwi ko apne aish o ishrat me barabar samjhe.
● Jo apni biwi par kabhi zulm aur kisi qism ki be jaa zyadati na kare.
● Jo apni biwi ki tand mizaaji aur bad-akhlaqi par sabr kare.
● Jo apni biwi ki museebato, beemariyo aur ranj o gam me dil-joi, timaardari aur wafadari ka saboot de.
● Jo apni biwi ko parde me rakh kar izzat wa aabroo ki hifaazat kare.
● Jo apni biwi ko zillat wz ruswai se bachaaye rakhe.
● Jo apni biwi ko deendaari ki taaqeed karta rahe aur shari’at ki raah per chalaye.
● Jo apni biwi ke akhrajaat me bakhili aur kanjoosi na kare.
● Jo apni biwi par is tarah qaboo rakhe ke wo kisi burai ki taraf rukh bhi na kar sake.
Behtareen Biwi ki pehchaan :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
● Jo deendaar aur paabande shariat ho aur huqooqullāh aur huqooq-ul-ibaad ko ada karti ho.
● Jo apne shohar ki farmaan bardaari aur khidmat guzaari ko apna farz mansabi samjhe.
● Jo apne shohar ke tamaam huqooq ada karne me kotahi na kare.
● Jo apne shohar ki khubiyon par nazar rakhe aur us ke aibo aur khaamiyon ko nazar andaaz karti rahe.
● Jo khud takleef utha kar hamesha apne shohar ko aaraam pahunchane ki koshish karti rahe.
● Jo apne shohar se us ki aamdaani se zyada ka mutaaliba na kare aur jo mil jaaye us par sabr o shukr ke saath zindagi basar kare.
● Jo apne shohar ke siwa kisi ajnabi mard par nigaah na daale aur kisi ki nigaah apne upar na padne de.
● Jo parde me rahe aur apni aur apne shohar ki izzat ki hifaazat kare.
● Jo shohar ke maal aur makaan wa saamaan aur khud apni zaat ko shohar ki amaanat samajh kar har cheez ki hifaazat wa nigehbaani karti rahe.
● Jo apne shohar ki museebat me apni jaani wa maali qurbaani ke saath wafadaari ka saboot de.
● Jo saas, nanand aur sasurali rishtedaar aur padosiyo aur milne jhulne wali aurto ke saath khush-akhlaaqi aur sharaafat ka bartaav kare.
● Jo maa'ika o sasural dono gharo me har dil azeez aur ba-izzat ho.
***********
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Sab ko Aashiq e Rasool nek shareek e hayaat ata farmae aur Sab ko dunya aur akhirat me bhalai aur kaamyaabi ata farmae.
Aur in baato ko yaad rakhkar amal karne ki aur dusro ko bataane ki taufiq ata farmae.
Aameen.

Comments