FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”
*_📜POST NO.1⃣_*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
*_🌷”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”_*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
*🌺Islami saal ka 9wa mahina RAMZAN-UL-MUBARAK Beshumar* Barkaton aur Sa’aadaton ke sath humare bich saya firgan hone wala hai,
*🌷Saal me 1 baar tashreef lane wala ye mahina be panah khair O Barkat ka mahina hai is me ALLAH TA’ALA ki* rahmaten khoob barasti hai Mamooli Kaar O Khair per bhi Dhero Ajr O Sawab ata kiya jata hai,
*Is mahe Moazzam me Momin ka Rizq badha diya jata hai,*
*Nekiyon ke sawab me izafa kar diya jata hai.*
ALLAH hum sab ko RAMDAN-UL-MUBARAK me khoob ibadat karne ki taufeeq ata farmaye ….
*_📜POST NO.2⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_💐”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*🌺ROZE KI FARZIYAT🌺*
🌹ROZA bhi Misl NAMAZ ke farzeain hai iski farziyat ka Munkir
kafir hai aur bila ujr chorne wala sakht gunahgar aur dozakh ka sazawaar hai….
Jo bacche ROZA rakh sakte ho unko Rakhaya jaye aur qavi mazboot ladke ladkiyon ko maar maar kar rakhaya jaye.
*🌿Pure ek Mahine Ramzan ka ROZA farz hai …*
*(📚QANOON-E-SHARIYAT PAGE NO. 173)*
Shariyat me ROZE k mayne hai ALLAH ki Ibadat ki Niyat se subha sadiq se le kar sooraj Doobne tak khane Pine aur Jima se apne ap ko Roke rakhna…..
┄─┅━━━━━━━━┅─┄
*_📜POST NO.3⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_💐”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_🌷Aurat ka Haiz wa Nifas_* se khali hona Shart hai yani haiz wa Nifas ki halat me ROZA sahi nahi.
*_🌿Haiz wa Nifas wali par farz hai_* ki pak hone ke bad in dino ki qaza rakhen.
*_🥀Nabalig par ROZA farz nahi_* aur *_Majnu per bhi farz na hoga_* jabki pura mahina RAMZAN ka junoon ki halat me guzar jaye aur agar kisi ek din me bhi aise waqt me hosh aye ki waqt ROZA ki niyat ka waqt hai to pure Mahine ki qaza lazim hai ….
Aslan Shuru RAMZAN se Pagal hua aur 29 Tareekh ko subha sadiq se zahwayae qubra tak hosh me aya to pure RAMZAN ki qaza lazim hue
*(📚QANOON E SHARIYAT PAGE NO 173)*
*_📜POST NO.4⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_💐”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_💖HAZRAT ABU HURAIRA RADI ALLAHU TA’ALA ANHU ne kaha ki NABI KAREEM SALLALLAHU TA’ALA ALLAIHI WA SALLAM ne farmaya:-_* Jab Ramzan ka mahina shuru hota hai to Asman ke Darwaze khol diye jate hai aur ek Riwayat me hai ki Jannat ke Darwaze khool diye jate hai aur Jahennum ke Darwaze band kar diye jate hai aur shaitan zanjiro me jakad diye jate hai,Aur ek riwayat me hai ki rahmat ke darwaze khool diye jate hai….
*(📚BUKHARI -MUSLIM)*
*↪MAS’ALA :-*
KHANE YA PINE YA JIMAA KARNE SE ROZA TUT JATA HAI JABKI ROZDAR HONA YAAD HO AUR AGAR ROZDAR HONA YAAD NA RAHA AUR BHUL KAR KHA LIYA YA PI LIYA YA JIMAA KAR LIYA TO ROZA NA GYA !
*(📚QANOON-E-SHARYAT PAGE NO 177)*
*_📜POST NO.5⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_💐”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*MAS’ALA:- *
HUKKA/SIGRET/BIDI/CHURUT/SIGAR/
PINESE ROZA TUT JATA HAI….
*(📚QANOON E SHARYAT PAGE NO 177)*
*MAS’ALA:- *
CHINI/GUD.WAGAIRAH AISI CHIZE JO MUH ME RAKHNE SE GHUL JATI HAI MUH ME RAKKHI AUR THOK NIGAL GYA TO ROZA TUT GYA.
*(📚QANOON E SHARYAT PAGE NO 178)*
*MAS’ALA:-*
DANTO ME KOI CHIZ CHANE BARABAR YA ISSE ZIYADAH THI USE KHA GYA YA KAM HI THI MAGAR MUH SE NIKAL KAR FIR KHA LI TO ROZA TUT GYA…..
*(📚QANOON E SHARYAT PAGE NO 178)*
*_📜POST NO.6⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_💐”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*📖QURAN:-*
Aye imam Walon Tum Pe Roza Farz Kiya Gaya ” Jaisa unpe Farz Hua Tha Jo Tum Se Pehle Huye..
Taki Tum Gunaho Se Bacho,, phir Tum Me Jo Bimar Ho Ya Safar Me Ho Wo Aur Dino Me Ginti Puri Kare (Bimari Ya Safar Khatm Hone Ke Bad Roza Rakhe), Aur Jo TAQAT Nahi Rakhte (Budha Admi Ya Aisa Bimar Jiske Tandurust Hone ki Ummid na Ho) wo Fidya Den,,,,,,
Ek Miskeen Ka Khana phir Jo Ziyadah Bhalai Kare Ye Uske Liye Behtar Hai,
Aur Roza Rakhna Tumhare Liye Behtar Hai Agar Tum Jante Ho….
*_📚{قرآن كريم، پارہ-2، سورة البقرة-187}_*
*↪HADEES:-*
*_🌹Hazrat Ibne ABBAS Se Riwayat Hai_* Jab Ramzan Ka Mahina Aata To *_Huzoor صلى الله عليه وسلم_* Tamam Qaidyon Ko Riha Farma Dete Aur Har Mangne Wale Ko Ata Farmate….
*_📚{شعب الایمان، باب في الصيام، فضائل شهر رمضان، ج-3، ص-311، الحديث-3629}_*
*_📜POST NO.7⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_💐”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*✍🏻HADEES⤵*
*Hazrat Salman Farsi رضي الله تعالي عنه Kehte Hain Huzoor Ne Shaban Ke Akhri Din Waz Farmaya:-* _Ki Aye Logon Tumhare Pas Azmat Wala Barkat Wala Mahina Aaya Wo Mahina Jisme ek Raat Hazaar Mahino Se Behtar Hai,Iske Roze Allah Ne Tum Par Farz Kiye,
Aur Iski Raton Me Qayam (Namaz Padhna) aur jo isme Neki Ka Koi Kaam Kare To Aisa Hi Hai jaise kisi Aur Mahine Me Farz Ada Kiya…_
_Aur Isme Jisne Farz Ada Kiya Aisa Hi Hai Jaise Aur Dino Me 70 Farz Ada Kiye.Ye Mahina Sabr Ka Hai Aur Sabr Ka Badla Jannat Hai,Aur Ye Mahina Hamdardi Ka Hai, Is mahine Me Momin Ka Rizq Badha Diya jata Hai.._
_Aur jo Isme Roza Dar Ko Iftar Karaye uske Gunaho Ke Liye Magfirat Hai,Aur uski Gardan Aag (Dozakh) Se Azad Hogi.Aur Iftar Karane Wale Ko Aise Hi Sawab Milega Jaisa Roza Rakhne Wale Ko Milega.._
_Hum Ne *(sahaba ne)* pucha *Ya Rasulullahﷺ* Hum Me Har Shakhs Wo Chiz Na Pata Ki Rozadar Ko Aftar Karaye, *Huzoor صلى الله عليه وسلم* Ne Farmaya Allah pak Ye Sawab Har Us Shakhs Ko Bhi Dega Jo Ek Ghunt Doodh Ya Ek Khajoor Ya Ek Ghunt pani Se Roza Aftar Karwaye Aur Jisne Rozadar Ko Bhar Pet Khana Khilaya Use Allah Pak Mere Hauz (Hauze kausar) Se pilayega Aisa Ki Kabhi Pyasa Na Hoga Yahan Tak Ki Jannat Me Dakhil Hoga.._
*_🌹Ye Wo Mahina Hai Jiska Awwal (10 din) Rehmat,_*
*_🌹Jiska Awsat (11 se 20 din) Magfirat,_*
*_🌹Jiska Aakhir {21 se akhri tak) Jahannam Se Azadi Hai.._*
_Jo is Mahine Me Apne Gulam (kaam karne wale.nokar chakar mazdoor) Par Kaam Me Takhfeef (kami) Kare Allah Tala Use Bakhsh Dega Aur Jahnnam Se Azad Farmayega._
*📚{شعب الایمان، باب في الصيام، فضائل شهر رمضان المبارك، ج-3، ص-305، الحديث-3608}*
*_Allahu Akbar_* _Kabeera,Is Mahine Ki Ahmiyat Ka Andaza Lagaye Ki iske Aane Se Qabal Hi *Huzoor* Iski Barkato Aur Rehmaton Ko zikr Farma Rahe Hain Aur isme kiye Jane wale Sawab Ke Kaam irshad Farma Rahe Hain. *Subhan’Allah* Isse Badh Kar Ramzan Ki Azmat Aur Kya Hogi Ki iske Ahtemam Ko *Allah Ke Mehboob Paigambar* Hamare *AAQA O MAULA* Bayan Farma Rahe Hain…._
*Allah Pak Hum Sab Ko Ramzane Kareem Ki Qadr Karne Aur usme Kasrat Se IBADAT
Karne Ki Taufeeq Ata Farmae…*
*_📜POST NO.8⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_💐”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
_*🌹HAZRAT ABU HURAIRA RADI ALLAHU TA’ALA ANHU Se Riwayat hai ki NABI KAREEM SALALLAHU TA’ALA ALLAIHI WA SALLAM* ne farmaya ki Jab mahe RAMZAN ki paihli raat hoti hai to shayateen aur sarkash jin qaid kar liye jate hai aur JAHENNUM ke darwaze band kar diye jate hai unme se koi darwaza khola nahi jata aur JANNAT ke darwaze khol diye jate hai aur unme se koi darwaza band nahi kiya jata aur Munaadi pukarte hai A khair ki talab karne wale mutawajje ho aur A burai ka irada rakhne wale burai se baaz reh aur ALLAH bahot se logon ko DOZAK se aazad karta hai aur har raat aisa hota hai .._
*📚(TIRMIZI-IBN-E-MAJAH)*
*↪MAS’ALA:-*
_Daton se khoon nikal kar halaq se niche utra aur khoon thook se zyadah ya barabar tha ya kam tha magar uska maza halaq me maloom hua to in suratoon me ROZA jata raha aur agar khoon kam tha aur maza bhi maloom na hua to ROZA na gaya!_
*📚(QANOON-E-SHARIYAT PAGE NO. 178)*
*_📜POST NO.9⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_💐”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*❤MAS’ALA:-*
_Kulli kar raha tha bila kasd pani halaq se utar gaya ya naak me pani chad raha tha pani dimag me chad gaya to ROZA tut gya lekin agar ROZA hona bhul gaya to na tutega!_
*📚(KANOON-E-SHARIYAT PAGE NO.178)*
*↪MAS’ALA:- *
Aansu muh me chala gya aur nigal liya agar bund do bund hai to ROZA na gaya aur agar ziyadah tha ki uski Namkeen pure muh me maloom hue to ROZA tut gaya. paseene ka bhi yahi hukm hai!
*📚(Kanoon-E-Shariyat page no. 178)*
*_📜POST NO.🔟_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_💐”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
_*🌿HAZRAT ABU HURAIRA RADI ALLAHU TA’ALA ANHU* se marwi hai ki *NABI KAREEM SALALLAHU TA’ALA ALAIHE WA SALLAM* ne bagair kuch khaye piye ROZE se ROZA milakar rakhne se mana farmaya to ek sahaba ne arz kiya *YA RASOOL ALLAH (SALALLAHU TA’ALA ALAIHE WA SALLAM )* aap to is tarah ROZA rakhte hai to *NABI KAREEM SALALLAHU TA’ALA ALAIHE WA SALLAM* ne irshad farmaya tum me mere Jaise kaun hai??_
*🌸Me to is haal me Raat Guzarta hun ki mera RAB mujhe khilata pilata hai.*
*(📚Bukhari Jild-1 Safa-263)*
*(📚Muslim Jild -1 Safa- 351)*
*MAS’ALA⤵*
Muh me Rangeen dora Rakkha Jisse thook Rangeen ho gaya fir thook Nigal liya to ROZA jata raha!
*(📚Kanoon-E-Shariyat page no. 178)*
*MAS’ALA⤵*
Be ikhtiyar Qayi(Vomit) ho gai to thodi ya zyadah ROZA na tuta!
*(📚Kanoon-E-Shariyat page no. 179)*
*_📜POST NO.1⃣1⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_💐”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_🌺ABU DAWOOD wa TIRMIZI_* wa *_IBN-E-MAJA wa DAARMI ABU HURAIRA RADI ALLAHU TA’ALA ANHU_* se rawi hai ki *_NABI KAREEM SALALLAHU TA’ALA ALAIHE WA SALLAM_* ne farmaya jis per qai ne ghalba kiya use per qaza nahi aur jisne qasdan qai ki usper ROZA ki qaza hai…..
*🌹ROZA TUTNE KI UN SORTON KA BAYAN JINME SIRF QAZA LAZIM HAI!!!*
*MAS’ALA⤵*
_Ye Guman tha ki abhi subha sadik shuru nahi hue isliye khaya ya piya ya jima’a kiya baad ko maloom hua ki subha ho chuki thi to ROZA na hua aur sirf qaza lazim hai!_
*_📜POST NO.1⃣3⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_💐”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*MAS’ALA⤵*
_Khane pine par majboor kya gya yani ikrahe sharyat ( yani koi daraye dhamkaye ki agar ROZA na todeega to mar dalunga) paya gya agarche apne hath se khaya ho to sirf qaza lazim hai yani us ROZA ke badle ek ROZA rakhna padega!!_
*📚(BARAH–SHARIYAT)*
*📚(QANOON-E-SHARIYAT PAGE NO.179)*
*_📜POST NO.1⃣4⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_💐”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*🥀Roza ki Taareef🥀*
_Roza Urf-e-Shar’a mey Musalman ka ibaadat ki Niyat Se Subah-Saadiq se Guroob-e-Aaftaab(Sunset) tak Apne Aap Ko Qasdan Khaane,Peene,Jimaa se Baaz Rakhna he. Aurat ka Haiz (Period) o Nifaas se Khaali Hona Shart he._
*(📚Aama Kutub,*
*Tanveer-ul Absaar,Jild-2,Safha-110)*
*💐Roza ke Darje….*
*Roze ke 3(Teen) Darje hey…*
_1⃣●Ek Aam Logo ka Roza k yahi pait(Stomach) aur SharmGaah ko Khaane,peene aur Jimaa se rokna._
_2⃣●Dusra Khwaas ka Roza k inke Alaawa Aankh,Zabaan,Haath,Paaw aur Aa’za(Body parts) ko Gunah se paak Rakhna._
_3⃣●Teesra Khaas-ul-Khaas ka k Jamee Maa-Siwa Allah(Allah ke Siwa Har Cheez) se apne aap ko Bil-kulliya Juda karke Sirf Usi ki Taraf Mutawajje Rehna._
*(📚DURR-E-MUKHTAR)*
*(📚QANOON-E-SHARIYAT PAGE NO.179)*
*_📜POST NO.1⃣2⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_💐”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*MAS’ALA⤵*
_Bhulkar khaya piya jima’a kiya tha ya nazar karne se inzal hua tha ya ehtelam hua ya qai hue aur un sab surton me ye guman kiya ki ROZA jata raha ab is guman per fir kasdan khaya piya to sirf qaza farz hai!!_
*(📚DURR-E-MUKHTAR)*
*(📚BAHAR-E-SHARYAT)*
*(📚QANOON-A SHARYAT PAGE NO. 179)*
*_📜POST NO.1⃣5⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_💐”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*💝Roze Ke Maqaasid💝*
*🥀Qur’an e Paak ke Farmaan ke Mutaabiq Musalmano ko Roza Rakhne ka Hukm isliye diya gaya he Taake wo ParHezGaar Ban Jaaye.*
Lihaaza Agar koi Aadmi Roze rakhe lekin Gunaho se baaz na aaye to usne Roze Rakhne ka Maqsad Nahi Samjha,
*🌿Jesa k Nabi-e-Kareem SallAllahu Alaihe wa sallam ka Farmaan e Aali-Shaan he k “Kitne hi Roze-Daar aese he, Jinhe Roza se Bhook-Pyaas ke Siwa kuch Haasil nahi hota.”*
Is Hadees e Mubaraka ko Saamne Rakh Kar Agar Apna Jaaiza le to pata Chalega k Bahut-Saare Roza daar Sood(Biyaaz,interest) aur Rishwat(Commission) ke lain-dain,
Naap-Tol mey Kami,
Geebat,
Bad-Gumaani aur Bad-Nigaahi jese bade-bade Gunaho mey bhi Masroof hey aur sab se badh kar ye k Baaz log Roza to Paabandi se rakhte hey lekin Namaz-e-PanjGaana ki Paabandi nahi karte Haalanke Jis Tarah Roza Farz he,
Aese hi Namaz bhi Farz he Balke Namaz Ka Number Pahle Aata he aur ek Riwayat mey ye bhi Aata he k “Bay-Namaz ki Koi Neki Qaabil-e-Qubool nahi” ye bhi Yaad rahe k Namaz ki Paabandi bhi zaroori he….
*_📜POST NO.1⃣6⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_💐”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_🍃Jin Cheez Se Roza Nahi Toot’Ta Unka Bayan🍃_*
*Hadees⤵*
_Hazrat Abu Hurairah رضي الله تعالي عنه Se Riwayat Hai ki huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya Jis Rozedar Ne Bhool Kar Khaya Ya Piya wo Apna Roza Pura Kare, Use Allah Ne Khilaya Aur Pilaya…_
*(📚Sahi muslim, Hadees No-1155)*
*3 Chizo Se Roza Nahi Toot’Ta,*
*1√:-* _Pachhna (Badan Se Fasid khoon nikalwana jise Hijama Bhi Kehte Hai}_
*2√:-* _Qaye (ulti, Jo Khud se Ho Qasdan Kiya Aur Muh Bhar Qaye Hui To Toot Gaya)_
*3√:-* _Ehtelam (sote Me Mani Ka Nikalna, Ya bemari Ya Boojh Uthate WAQT Nikal Jaye To Roza Nahi Toota Apne Haton Nikala To Toot Gaya)_
*(📚Tirmizi, jild-2, page-177, 719)*
*_📜POST NO.1⃣7⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_💐”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*🌿Fiqhe Hanfi Ki Roshni Me Roza Kin Kin Baton Se Nahi Toot’Ta Wo Zail Me Hain🍃*
*↪Mas’ala:-*
Makhkhi Ya Dhuwan Ya Gubaar (dhool mitti) Halaq Me Jane Se Roza Nahi Toot’Ta chahe Wo Gubar Aate Ka Ho Ki Chakki Peesne Ya Chhanne Me Udta Ho,,,
Ya Galle Ka Gubar Ho,,
Ya Hawa Se Mitti Ud Kar Halq Me Paohchi agarche Rozadar hona Yaad Tha Magar Roza Nahi Toota…
Agar Khud Qasdan Dhuwan Paohchaya To Roza Toot Gaya Jabki Roza Dar Hona Yaad Ho phir Chahe Jis Chiz Ka dhuwan ho,,,
Yahan Tak Ki AgarBatti Sulagti Thi Uske Qareeb Muh Kar Ke Naak se Dhuwa Khicha To Roza Toot Gaya…
Yun Hi HUQQA Peene Se Bhi Roza Toot Gaya… aur Rozadar Hona Yaad Tha Phir HUQQA Piya To Use Kaffarah Bhi Lazim Ayega
*√(61 roze rakhne Honge)*
*📚{Bahar-e-shariat, Hissa-5,}*
*↪Mas’ala:-*
Pachhna alagaya Ya Tel (Oil) Ya surma Lagaya To Roza Na Gaya…
Agar Che Tel Ya Surma Ka Maza HALAQ Me Mahsoos Hota Ho Balki Thook Me Surma Ka Rang Bhi Dikhai Deta ho Jab Bhi Nahi Tootega…
*📚{Bahar-e-shariat hissa-5}*
*_📜POST NO.1⃣8⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_💐”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*➡Mas’ala:-*
Bosa (kiss) Liya Magar Inzal Na hua (mani nahi nikli) To Roza Nahi Toota…
Yun Hi Aurat Ki sharmgah Ki taraf Nazar ki Magar Hath Na Lagaya aur inzal Ho Gaya agarche Bar Bar Nazar Karne & jima Karne Ke Khayal Se inzal Hua agarche Der Tak Khayal Jamane Se Aisa hua In Sab Surton Me Roza Nahi Toota
*{📚Bahar-e-shariat, Hissa-5,)*
*Mas’ala⤵*
Bhule Se Khana Kha Raha Tha Yad Aate Hi Luqma Ugal Diya To Roza Nahi Toota Aur Yaad Aate Huye Nigal Liya To Toot Gaya
*{📚Alamgiri, jild-1, page-203}*
*Mas’ala⤵*
Gusl Wajib Tha Isi Halat Me Sehri Kar Ke Roza Rakha To Roza Ho Gaya….
Magar Sara Din Isi Halat Me Guzarna Ki Namaze Bhi Qaza hon Gunah O Haram Hai….
*(📚Bahar-e-shariat, Hissa -5, page-984)*
*_📜POST NO.1⃣9⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_💐”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*SEHRI KHANE KI FAZEELAT…..*
_Sehri khaaya karo kyon ki Sehri khane me har Luqme ke badle 60 baras ki ibadat ka sawab milta hai…_
AAQA SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ka Farman hai
Sehri khao !
Kyunki Sehri me barkat hai
Jis ne ALLAH PAK Ki Raah ME Roza rakha to ALLAH PAK uske chehre ko Jahannum se 70 saal ki Musafat jitna door farma dayta hai…..
_Jis shaks ne Roze Rakhkar bhi jhoot bolna aur jhoot par amal karna na choda to ALLAH PAK ko is se koi Dilchuspi nahi ki wo bhuka aur pyasa rahe…_
*(📚Muslim Sharif 1153)*
↪Mas,ala :-
Sahri ka khana aur usme Takhir (deri) karna mustahab hai magar itni takhir makrooh hai ki subah saadiq hone ka shak ho jaye…
*(📚Alamgeeri)*
*↪Mas,ala :-*
Iftaar me jaldi karna mustahab hai magar iftaar us waqt kare ki guroob ka gaalib gumaan ho jab tak gumaan gaalib na ho iftaar na kare Agarche muazzin ne azaan kah di hai aur abr ke din me aftaar jaldi nahi karni chahiye.
*(📚Bahare shariat)*
*_📜POST NO.2⃣0⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_💐”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*🌹SEHRI KHANE KI FAZEELAT🌹*
_*🌿 UMAR RADIYALLAHU T’ALA ANHUMA* riwayat karte hain ki *HUZOOR E AKRAM SALLALLAHU T’ALA ALEIYHI WASALLAM* ne farmaya ki *ALLAH T’ALA* aur uske farishte Sahri khane walon par durood bhejte hain.…_
*(📚Bahare shariat)*
_Bukhari wa Muslim wa Ibne Maja Me *ANAS RADIYALLAHU T’ALA ANHU* se rawi ki *HUZOOR E AKRAM SALLALLAHU T’ALA ALEIYHI WASALLAM* ne farmaya ki Sahri khaao ki Sahri Khane me barkat hai,…_
_Muslim wa Aboo Daud wa Ibne Khuzaima *AMR IBNE AAS RADIYALLAHU T’ALA ANHU* se rawi ki *HUZOOR E AQDAS SALLALLAHU T’ALA ALEIYHI WASALLAM* farmate hain ki Humare aur Ahle kitaab ke Rozon me Farq Sahri ka Luqma hai. ….._
*[ 📚Bahare shariat ]*
*_📜POST NO.2⃣1⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_💐”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*HADEES⤵*
_*🌹HAZRAT ABU HURAIRA RADI ALLAHU TA’ALA ANHU* ne kaha ki *NABI KAREEM SALLALLAHU TA’ALA ALLAIHI WA SALLAM* ne farmaya ki jo shaqs(roza rakhkar) buri baat kaihna aur usper amal karna na choore to *ALLAH TA’ALA* ko iski parwa nahi ki usne khana pina choor diya ._
*(📚BUKHARI SHAREEF)*
_Is HADITH Shareef ki sharah me *HAZRAT SHAIKH ABDUL HAQ MUHADDIS DEHLVI RAHMATULLAH ALLAIH* likhte hai !_
_Matlab ye hai ki Roza qabool na hoga isliye ki roze ke wajib karne ka maqsad yahi bhuk piyas nahi hai balki lazzato ki khwaisho ka todna aur khud garzi ki aag bujhana maqsad hai taqi nafs khwaisho ki taraf jane ke bajaye *ALLAH* ke hukm per chalne wala ho jaye ._
*(📚ASHIATUL’LMAAT JILD 2 SAFA 85)*
*_📜POST NO.2⃣2⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_💐”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*💐ROZA TODNE KI UN SORTO KA BAYAN JINME KAFFARA BHI LAZIM HAI …*
Ramzaan ka Roza kasdan tod dalne se kaffara lazim ata hai !
Roza todne ka kaffara ye hai ki ek laondi ya gulam azaad kare aur ye na ho sake to lagataar Barabar 60 roze rakkhe agar ye bhi na kar sake to 60 miskino ko bhar pet dono waqt khana khilaye aur Roza rakhne ki surat me agar bich me ek din ka bhi roza chut gya to ab se 60 roze rakkhe paihle ki ginti nahi !
59 rakh chuka tha aur 60 na rakh saka bimari wagairah kisi uzr se,to fir se 60 pure lagatar rakkhe !
Paihle ke 59 nahi hue Albatta Aurto ko agar haiz aa jaye to haiz ki wajah se jitne nahe hue ya nage nahi gine jayege yani paihle ke roze aur haiz ke baad wale roze dono milakar 60 ho jane se kaffara ada ho jayega !
Roza todne se kaffara lazim ane ki chand sharte hai jab ye sab payi jayegi tab kaffara lazim ayega warna nahi.
*📚(QANOON-A-SHARYAT PAGE NO181)*
*_📜POST NO.2⃣3⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_💐”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*🌺Sehri k muttaliq Faramin e Mustafaﷺ….*
_Sehri Khaya Karo kyun ki Sehri me Barkat hai…_
*📚(Sahih Muslim, jild:1, Safa:633, Hadees : 1923)*
_Humare aur Ahle Kitab k Darmiyan Sehri khane ka farq hai …_
*📚(Sahih muslim, Safah:552, Hadees : 1096)*
_*🍃Allah (azhawajal)* aur uske farishte Sehri khane walo per Rehmat nazil farmate hai !_
*📚(Al Ahsan bi Tartib, Sahih ibn e Habban, jild:5, Safah:194, Hadees : 3458)*
_*🍃Nabiye Kareem, Rauf ur Raheem, Mehbob E RAB e Azeem(azhawajal)ﷺ* Apne sath jab kisi Sahabi (RadiAllahu tala anhu) ko Sehri khane k liye bulate toa Irshad farmate,.._
*” AAO BARKAT KA KHANA KHALO “*
*(📚Sunna Abu Dawud, jild : 2, Safah : 442, Hadees, 2344)*
*_📜POST NO.2⃣4⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_💐”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*🍃Sehri k muttaliq Faramin e Mustafaﷺ….*
_Roza rakhne k liye Sehri kha kr quwwat hasil karo aur din (Yani dopher) k waqt Aaram kar k Rat ki Ibadat k liye Taqat hasil karo !!_
*(📚Sunna Ibn e Majah, jild : 2, Safah : 321, Hadees : 1693)*
_Sehri Barkat ki chiz hai jo *ALLAH (azhawajal)* ne tum ko ata farmai hai, Is ko mat chodhna !_
*(📚Assunnul Qurb, linnisai, jild : 2, Safah : 79 , Hadees : 2472)*
_Tin 3 Aadmi jitna b khalo (In sha Allah) (azhawajal) Un se koi hisab na hoga Ba shart ki Khana halal ho…_
1 :- Rozedar Iftar k waqt.
2 :- Sehri khane wale.
3 :- Mujahid jo ALLAH (azhawajal) k rasste me sarhad Islam ki Hifazat kare !
*(📚A targib wa tahrib, jild : 2, Safah, : 90, Hadees : 9)*
_Sehri Puri ki Puri barkat hai pas Tum na Chodho Chahe yehi ho ki tum pani ka ek ghunt pee loo !_
_Beshaq *ALLAH (azhawajal)* aur uske farishte Rehmat bhejte hai Sehri krne wale per !!_
*(📚Musnad e Imam e Ahmad, jild : 4, Safah : 88, Hadees : 11396)*
_*🌺Hazrat e Saiyyaduna Ibaj bin Suuraiya (RadiAllahu tala anhu)* bayan krte hai ki ek Dafa Ramzan ul Mubarak me *RasulAllah'(Azhawajala)ﷺ* Ne Mujjhe apne sath Sehri kahne k liye bulaya aur Farmaya ” AAO MUBARAK NASHTE K LIYE !”_
*(📚Sunna Abu Dawud , Jild : 2, Safah : 442, Hadees : 2344)*
‘
*_📜POST NO.2⃣5⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_💐”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*IFTAARI……*
_*🌹Saad Radi allahu anhu* se Rivayat hai ki *Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam* ne farmaya , “Meri Ummat ke Logon mein us waqt tak khair baqi rahegi jab tak wo iftaar mein jaldi kartey rahengey”._
*_(📚Sahih Bukhari, Volume 3, 1957)_*
_*🌹Hazrat Salman Ibn Amir* se Rivayat hai ki *Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam* ne farmaya “Jo shaks Rozedaar ho to usey chahiye ki wo Khajur se Iftaar karey aur agar Khajur Na mil paye to Pani se Iftaar karey kyunki Paani paak karney wala hai “_
*_(📚Sunan Abu Dawud, Rozo ka bayan , 583,)_*
*_(📚Sunan Ibn Majah, Vol 1’1699-Sahih)_*
_*🍃Hazrath Abdullah bin Amr bin As Radi Allahu Anhu* se rivayat hai ki *Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam* ne farmaya ” Iftar ke waqt Rozedar ki Dua radd Nahi hoti “._
*_(📚Sunan ibn Majah, vol 1, 1753-Hasan)_*
*_📜POST NO.2⃣6⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_💐”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_🌸UN SHARTO KA BAYAN JINMAI QAZA KE SATH KAFFARA BHI LAZIM HAI…._*
_Ramzaan Mein Rozah daar Mukallaf (Jispar Rozah Farz ho) Muqim Ne K Adaaye Rozahe Ramzaan Ki Niyyat Se Rozah Rakha Aur Geeza Ya Dawa Khaayi Ya Paani Piya Ya Koi Cheez Lazzat Ke Liye Khaayi Ya Pi Inn Sab Surton Mein Qaza Ke Saath Kaffara Bhi Laazim Hai._
*↪Mas’ala-*
_Jis Jagah Rozah Todhne Se Kaffara Laazim Aata Hai Usme Shart Hai k Raat Hi Se Rozae Ramzaan Ki Niyyat Ki Ho Agar Din Mein Niyyat Ki Thi Aur Todh Diya To Kaffara Laazim Nahin…_
*↪Mas’ala-*
_Kaffara Wajib Hone Ke Liye Bhar Pet Khaana Zaroori Nahin. Thodasa Khaane se Bhi Wajib Ho Jaayega…._
*↪Mas’ala-*
_Tel Lagaaya Ya Geebat Ki Phir Ye Gumaan Kar Liya K Rozah Toot Gaya Phir Usne Kha Pi Liya Jab Bhi Kaffara Laazim Hai ….._
*↪Mas’ala-*
_Jin Surton Mein Rozah Todhne Par Kaffara Laazim Nahin Unme Shart Hai K Ek Hi Baar Aisa Hua Ho Aur Gunaah Ka Iraada Na Kiya Ho Warna Unme Kaffara Dena Hoga._
*↪Mas’ala-*
_Sehri Ka Niwala munh Mein Tha K Subah Tulo’o Ho Gayi Aur Use Nigal Gaya Kaffara Wajib Hai._
*↪Mas’ala-*
_Bhoolkar Kha Raha ThaYaad Aa Gaya Aur Nigal Gaya, Kaffara Wajib Hai._
*↪Mas’ala-*
_Ehtlaam (Night Fall) Hua Aur Usse Maloom Tha Ke Rozah Na Gaya Phir Kha Liya To Kaffara Laazim Hai._
*↪Mas’ala-*
_Ramzaan Ka Rozah Qasdan (Jaanbujhkar) Todhne Se Kaffara Laazim Aata Hai…._
*(📚Qanoon-E-Shriyat)*
*_📜POST NO.2⃣7⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_💐”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_🌸UN SHARTO KA BAYAN JINMAI QAZA KE SATH KAFFARA BHI LAZIM HAI…._*
*↪MAS’ALA:-*
_Bhul se khana kha raha tha yaad ate hi faoran niwala thook diya to ROZA na gya aur nigal liya to ROZA jata raha!_
*↪MAS’ALA:-*
_Subha sadiq shuru hone se paihle sahri khana shuru kiya khate khate subha sadiq shuru hone lagi subha shuru hote hi agar niwala ugal dya to ROZA na tuta aur agar nigal gya to ROZA tut gya!…_
*↪MAS’ALA :-*
_Gibat ki to ROZA na tuta agarche gibat bahut sakht qabira gunah hai!_
_QURAN SHAREEF me gibat karne ke bare me farmaya gya hai jaise apne murda bhai ka gosht khana aur HADITH me aya hai ki gibat zina se badkar hai! Gibat ki wajah se ROZA ki nooraniyat jati rahti hai._
*(📚QANOON-E-SHARIYAT PAGE NO. 183)*
*_📜POST NO.2⃣8⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_💐”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*↪HADEES:*
_🍂IBNE KHUZAIMAH Ne ABU MASOOD Giffari Se Eik Taveel Hadees Riwayat Ki Usme Ke Kuch Alfaz Ye Hain…_
*_🌹Farmaya ALLAH Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Agar Bandon Ko Maloom Hota Ki Ramzan Kya Chiz Hai To Meri Ummat Tamanna Karti Ke Pura Saal Ramzan Hi Ho…_*
*●{📚صحیح ابن خزيمة، كتاب الصيام، باب ذكر تزيين الجنة لشهر رمضان……إلخ، ج-3، ص-190، الرقم الحديث-1886}*
*↪Hades*
_☄Qayamat ke din us Darwazey se sirf Rozedaar hi jannat mein dakhil hongey_
_Sahal bin Sad Radi allahu Anhu se Rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jannat mein ek Darwaza hai jisey Ar-Raiyan kahtey hain Qayamat ke din us Darwazey se sirf Rozedaar hi jannat mein dakhil hongey unkey siwa aur koi usmein se dakhil nahi hoga,_
*👥Pukara jayega ki rozedar kaha hain Wo khadey ho jayengey,*
_Unkey siwa us sey aur koi andar nahi janey payega aur jab ye log andar chaley jayengey to ye darwaza band kar diya jayega phir us sey koi andar nahi ja sakega_
*(📚Sahih Bukhari, Vol 3,1896)*
*_📜POST NO.2⃣9⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_🌷”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”🌷_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*🌸Roze Ke 3 Darje Hain…🌸*
_1⃣👉 Aam logo ka Roza Ke Yahi Pet Aur Sharmgah Khane Pine Aur jima Se Rokna.._
_2⃣👉 Khas Logo Ka Roza kaan Ankh zaban Aur Hath Paon Tamam Aazaye Jism Ko Gunaho Se Baaz Rakhna,_
_3⃣👉 Khasul Khas Logo Ka Roza Ki ALLAH Ke Siwa apne Ko sab Se Juda Karna aur apni Tamam Tawajjoh Ko sirf ALLAH Ki Taraf Lagana_
*{📚Bahar-e-shariat, Hissa-5, P-966}*
_*(📚Fazail-e-iftaari Hadees ki Roshni me..)*_
*↪Hadees:-*
_🎊Hazrat e sayyiduna Sahal bin Sa’ad RadiyAllahu anho se riwayat he k Huzoor Nabi-e-Akram,Noor-e-Mujassam,Shafi-e-Muazzam SallAllahu alaihe Wa sallam farmate hey “Hamesha Log Khair ke Saath Rahenge jab tak iftaar mey Jaldi Karenge.”_
_🍔Jab iftaari ka Waqt ho jaaye to Bila-TaaKheer khajoor ya paani wagairah se Roza Khol le Taake iftaar mey Kisi Qism ki Taa-Kheer na ho aur Roza Khol Kar Dua Bhi Maange._
*↪Hadees:-*
_🍓Huzoor Nabi -e-Akram, Noor-e-Mujassam SallAllahu alaihe wa sallam ka Irshad he “Meri Ummat meri Sunnat par Rahegi jab Tak iftaar mey Sitaaro ka intezaar na kare.”_
*[📔Ahsaan Ba-Tarteeb Saheeh ibne Habban,Jild-5,Safha-209]*
🍓🍃🍓🍃🍓🍃🍓🍃🍓🍃🍓🍃
*_📜POST NO.3⃣0⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_🌼”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”🌼_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*↪Hadees:-*
*_🌺Hazrat e sayyiduna Abu-Hureirah RadiyAllahu anho se riwayat he k Huzoor-e-Paak SallAllahu alaihe Wa sallam Irshad farmate hey Allah Azzawajal ne Farmaya “Mere Bando mey mujhe Zayaada Pyaara wo he jo iftaar mey jaldi Karta he.”_*
*[📚Tirmizi,Jild-2,Safha-164]*
*↪Hadees:-*
_🌹Hazrat e sayyiduna Anas bin Maalik RadiyAllahu anho farmate hey Maine Allah ke Mehboob SallAllahu alaihe wa sallam ko Kabhi is tarah nahi dekha k aap SallAllahu alaihe wa sallam ne iftaar se pahle Namaz-e-Magrib Adaa Farmaayi ho,Chaahe ek Ghoont Paani hi tha(Aap SallAllahu alaihe wa sallam us se iftaar farmate)._
*[📚At-Targeeb Wat-TarHeeb,Jild-2,Safha-91]*
*↪Hadees :-*
_🌷Hazrat e Sayyiduna Zaid bin Khaalid RadiyAllahu anh se riwayat he k Taajdar-e-Madeena SallAllahu alaihe wa sallam ne farmaya: Jisne Kisi Gaazi Ya Haji ko SaaMaan(Zaade Raah) Diya Uske peeche uske Ghar walo ki Dekh-Bhaal ki ya Kisi Roza-daar ka Roza iftaar KarWaaya to usey bhi Unhi Ki Misl(Tarah) Ajr(Sawaab ) Milega Bagair uske k Unke Ajr mey kuch Kami ho._
*[📔Al-Kubra Lish-Shaafi,Jild-2,Safha-206]*
*_📜POST NO.3⃣1⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_🌸”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”🌸_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
_*💐KAB ROZA NA RAKHNE KI IJAAZAT HAI..💐*_
_📖Sahi Muslim shareef me ABOO SAEED KHUDRI RADIYALLAHU T’ALA ANHU se Marwi hai ki 16we Ramzaan shareef ko HUZOOR E AQDAS SALLALLAHU T’ALA ALEIYHI WASALLAM ke sath hum jihaad me gaye hum me baaz ne Roza rakha aur baaz ne na rakha to na Rozadaar ne gair Rozadaar par aib lagaya aur na inhone unpar._
*↪Mas,ala :-*
_Safar wa hamal aur bache ko doodh peelana aur marz aur budhapa aur khouf e halaak wa iqrah wa nuqsaane aql aur jihaad sab Roza na rakhne ke uzr hain In wajahon se Roza na rakha to gunahgaar nahi._
*[📚Durre Mukhtar]*
*↪Mas,ala :-*
_Safar se Muraad safare sharai hai yani itni door jane ke irade se nikale ki yahan se wahan tak teen din ki doori ho…_
_Aur Riwayato ne 92 Km Se Jyada safar ka Muamla Aya hai…_
*[📓Durre Mukhtaar] *
*_📜POST NO.3⃣2⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_🌸”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”🌸_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
_🌸Kuch logon ko dekha jata hai ki zara zara si maraz par Roza mana kar dete hain itni bhi tameez nahi rakhte ki kis maraz me Roza nuqsaan dene wala hai aur kis me nahi._
↪Mas,ala :-
_Aurat ko jab haiz wa Nifaas aa gaya to Roza jata raha, Haiz se pure 10 din 10 raat me paak hui to baharhaal aane wale kal ka Roza rakhe aur kam me paak hui to agar subah saadiq hone me itna arsaa hai ki nahaa kar thoda sa waqt bachega to bhi Roza rakhe aur agar naha kar faarig hone ke waqt subah saadiq chamka to Roza nahi._
*[📓Aalamgeeri]*
↪Mas,ala :-
*_Bhook wa pyaas aisi ho ki halaak ka sahi khouf ya aql jati rahne ka andesha ho to Roza na rakhe…._*
*[📓Aalamgeeri]*
↪Mas,ala :-
*_🌹Roza todne par majboor kiya gaya to use ikhtiyaar hai aur sabr kiya to use azr milega. …._*
*[📔Raddul Muhtaar]●*
*[📔Bahare shariat, jild 5, page 96]*
*_📜POST NO.3⃣3⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_🌷”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”🌷_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*🌟Ramzan Mubarak me Takreeban Sabhi Log Quran Sharif ki Tilawat Karte hai Aur Quran Shrif me 14 Ayate Esi Hai Jaha Sajda Karna Wajib Hai To* _Aaiye Aaj ki Post me Hum ye Samajte hai ki Sajda Kaha Kaha Aur Konsi Sureh me Kiya Jaega Aur Iske Karne Ka Tareeka Kya hai…_
*🎶Question :- Sajda-e-tilawat Quran me kitni martaba hai aur sajda kis par wajib ho jata hai ?*
*Answer :- ✅*
_Qur’an Majeed Me 14 Aayatein Aisi Hai Ke Jin Ke Padhne Ya Sunne Wale Aur Sunane Wale Dono Per Sajdah Karna Wajib Ho Jata Hai IsKo Sajdah Tilawat Kehte Hai._
*(📓Durre Mukhtaar Jild 1, Safa 513)*
*🎶Question :- Isko karne ka tarika kya Hai??*
*Answer :- ✅*
_Sajdah Tilawat Ka Tariqa Ye Hai Ke Qible Rukh Khade Ho Kar “ALLAHU AKBAR” Kehta Hua Sajdeh Me Jae Aur Kam Se Kam 3 Baar_
*“سبحــــــــــان ربي الاعلــــى”*
_(Sajde me padhi jaane wali tasbeeh) Kahe – Phir “Allahu Akbar” Kehta Hua Khada Ho Jaye – Bas Na Is Me Allahu Akbar Kehte Hue Haath Uthana Hai Na Is Me Tash’had Hai Na Salam…_
*(📔Durre Mukhtaar Jild 1, -Safa 513)*
*_📜POST NO.3⃣4⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_💐”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”💐_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*❗Question..*
_Jab sajda e tilawat Wali ayaat Suni ya Padhi toh kya sajda tab hi karna zaroori hai ?_
_Mazeed yeh bhi bata dein ki sajde wali Ayaat kon-kon se pare me hai._
*✔Answer….*
_Namaz k Dooran ager Aa Jae tou fooran kerna WAJIB hai,_
_Ager Beiroon-e-Namaz Aajae tou fooran kerna WAJIB nahi hai,_
_Lekin ager Wazoo ho tou MUSTAHAB hai ki ker lia jai…_
_Sajde Ki Ayate Yeh paaron main hai dekh lein;-_
*☑Para:9, Sura Aaraf, Verse:206*
*☑Para:13, Sura Raad, Ayat:15.*
*☑Para 14, Sura Nehl, Ayat:49.*
*☑Para 15, Sura Bani israeil, Ayat:107-109.*
*☑Para 16, Sura Mariyum, Ayat:58.*
*☑Para 17, Sura Hajj, Ayat:18*
*☑Para 19, Sura Furqan, Ayat:60*
*☑Para 19, Sura Namal, Ayat:25-26*
*☑Para 21, Sura Sajda, Ayat:15.*
*☑Para 23, Sura Daood, Ayat:25.*
*☑Para 24, Sura Sajda, Ayat:37-38*
*☑Para 27, Sura Najam, Ayat:62.*
*☑Para 30, Sura Inshiqaq, Ayat:20-21*
*☑Para 30, Sura Alaq, Ayat:19*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
POST END
To join our what's app group
Follow this link
https://chat.whatsapp.com/Fz5nG68mZHK9Z4PSQxuODD
Comments
Post a Comment