SHAB E BARAAT MUBARAK :
Shab e Baraat ki fazeelat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Hadeeṡe Nabawi :
(1) Hazrat Ali radiy-Allāhu ta’ala anhu se riwaayat hai ki
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ki
“Jab nisf Sha’abaan ki raat aaye to raat ko Qayaam karo aur din ko Roza rakho. Beshak ghuroob e aaftaab se subah saadiq tak ALLĀH ta’ala ki rahmat ka (khaas) nuzool aasmaan o duniya par hota hai.
Rab ta’ala ki taraf se aawaaz di jaati hai : ‘Khabardaar! Hai koi jo mujh se Bakhsheesh talab kare, main use bakhsh du. Hai koi Rizq ka taalib ke use rizq ata karu. Hai koi museebat zada ke main use Aafiyat ata karu.
Khabardaar, Koi is tarah hai? Khabardaar, Koi is tarah hai?”
(Ibne Maajah, Baab Ma Jaa’a Fi Laylatin Nisf Min Sha’abaan, Safa -99)
(2) Hazrat Abu Moosā Ash'ari radiy-Allāhu ta’ala anhu se riwaayat hai ki :
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ki
“Beshak nisf Sha’abaan ki raat me ALLĀH ki rahmat ka (khaas) zahoor hota hai.
ALLĀH apni tamaam makhlooq ko ma’af farma deta hai siwa e mushrik, logon se bughz rakhne waale aur dushmani karne waale.”
(Ibne Maajah)
(3) Hazrat Ma’az bin Jabal radiy-Allāhu ta’ala anhu se riwaayat hai ki :
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaya ki
“ALLĀH ta’ala Sha’abaan ki 15wi raat ko apni tamaam makhlooq ki taraf matawajjeh hota hai aur tamaam makhlooq ki maghfirat farma deta hai, lekin mushrik aur bughz (keena) rakhne waala nahi bakhsha jaata.”
(Tabrani, Ibn Habaan)
(4) Hazrat Aa'isha radiy-Allāhu ta’ala anha se riwaayat hai ki
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaya ki
“Nisf Sha’abaan ki Raat me saal me paida hone waalo aur faut hone waalo, Baa'iṡ e rif'at nek aamal aur rizq ke asbaab likh diye jaate hain.”
(Bayhaqi;
Mishkaat)
********************
Shab e Baraat ki khaas Ibadaat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Ghuroob e aaftaab ke pehle :
100 martaba ‘Sub'hān-Allāhi wabihamdi Sub'hān-Allāhil azeem’ padhen.
Phir 41 martaba ‘Laa hawl wa laa quwwat illa billāhil aliyyil azeem’ padhen.
Phir 41 martaba ‘Astaghfirullāhallazee laa ilāha illa huwal hayyul qayyoom wa atoobu ilayhi’ padhen.
Maghrib ki namaaz ada karne ke baad 6 rak'at nafl namaaz 2-2 rak'at karke padhen.
(1) 2 Rak'at namaaz Daraji e Umr bil khair ki niyyat se.
(2) 2 Rak'at namaaz Dafa e Bala wa Imraaj ki niyyat se.
(3) 2 Rak'at namaaz Makhlooq ka Mohtaaj na hone ki niyyat se.
›› Har 2 rak'at ke baad Surah Yā-sin aur Dua e Nisf Sha’abaan padhen.
›› Masjid me namaaz padhen to ek shakhs buland aawaaz se Surah Ya-sin aur Dua padhe aur baaqi sab log khaamoshi se sune.
Sunne waalo ko bhi is ka ṡawaab milega.
Dua e Nisf Sha’abaan-ul-moazzam :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Bismillāhir Rahmānir Raheem.
Allāhumma Yaa zal-manni wa laa Yumannu alaihi. Yaa zal-jalaali wal-ikraam. Yaa zat-tauli wal-in'aami. Laa Ilāha illa anta zahral lajeena. Wa Jaaral Mustajireena. Wa amaanal khayifeena. Allāhumma in kunta katabtani indaka fee ummil kitaabi shakiyyan aw-mahruman aw-matrudan aw-mukattaram alaiya feer rizqi. Fa'amhu. Allāhumma bi-fadlika shakaawatee wa-hirmaanee wa-tardee wa-aktitara Rizqee. Wa-aṡbitnee indaka fee ummil kitaabi saeedam marzuqam muwaffaqal lil-khairaati. Fa-innaka qulta wa qaulukal Haqqu. Fee kitaabikal Munazzali. Alaa lisaani nabiyikal mursali. Yamhuwllāhu maa yashaău wa-yuṡbitu wa-indahu ummul Kitaabi. Ilāhee bit-tajallil a’azami fee laylatin nisfi min shahri sha’abaanal mukarram. Allatiee yufraqu feehaa kullu amrin hakeemiw wa-yubramu. An takshifa anna minal balaă'i wal-Balwaă'i maa na’alamu wa maa laa na’alamu. Wa- anta bihee a’alamu. Innaka antal a’azzul akramu. Wa sallallāhu ta’aalaa alaa sayyidina Mohammadiw wa alaa aalihī wa-sahbihī wa sallam. Wal hamdu lillāhi rabbil ālameen.
Aameen Ya Rabbul ālameen.
*********************
Shab e Baraat ke Nawaafil :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) 2 Rak'at nafl Tahyatul Wuzu padhen.
Har rak'at me Surah al-Faatiha ke baad 1baar Aayat ul Kursi aur 3 baar Surah al-Ikhlaas padhen.
In shaa Allāh har katra paani ke badle 700 rak'at nafl namaaz ka ṡawaab milega.
(2) Salaat-ut-Tasbeeh padhen.
(3) 2 Rak'at nafl namaaz padhen.
Har rak'at me Surah al-Faatiha ke baad 1baar Aayat ul Kursi aur 15 baar Surah al-Ikhlaas padhen.
Salaam ke baad 100 baar Durood shareef padhen.
In shaa Allāh Rizq me barkat aur Ranj o gham se najaat aur Gunaaho ki bakhshish aur Maghfirat haasil hogi.
(4) 8 Rak'at nafl namaaz (2-2 rak'at karke)
Har rak'at me Surah al-Faatiha ke baad 5 baar Surah al-Ikhlaas padhen.
Phir Durood shareef padhkar ‘Astaghfirullāhallazee laa ilāha lla hwal hayyul qayyoom wa atoobu ilayhi’ padhen.
In shaa Allāh Gunaaho se paak hoga aur Duaen qubool hogi.
(5) 12 Rak'at nafl namaaz (2-2 rak'at karke)
Har rak'at me Surah al-Faatiha ke baad 10 baar Surah al-Ikhlaas padhen.
12 rak'at ke baad 10 baar Kalma e Tauhid aur 10 baar Kalma e Tamjeed aur 10 baar Durood shareef padhen.
'
(6) 12 Rak'at nafl namaaz (2-2 rak'at karke)
Har rak'at me Surah al-Faatiha ke baad Surah al-Ikhlaas ya aur koi Surah padhen.
Phir Durood shareef padhkar yeh dua padhen :
‘Allāhumma innee as'alukal afa'w wal aafiyat wal muaafatad daa'imat fid deeni wad dunya wal aakhirah.’
In shaa Allāh har jaa'iz dua qubool hogi.
(7) 4 Rak'at ek salaam se
Har rak'at me Surah al-Faatiha ke baad 50 baar Surah al-Ikhlaas padhen.
Phir Durood shareef padhkar yeh dua padhen :
‘Allāhumma innaka afuwwun tuhibbul af'wa faa'afu annee.’
In shaa Allāh Gunaaho se bilkul paak ho jaayega.
(8) 8 Rak'at ek salaam se padhen.
Har rak'at me Surah al-Faatiha ke baad 11 baar Surah al-Ikhlaas padhen.
Is ka ṡawaab Khatoon e jannat Sayyeda Faatima Zahra radiy-Allāhu ta’ala anha ko nazr karen.
Aap farmaati hain ke
“Is namaaz padhne waale ki shafa’at kiye bina Main Jannat me qadam na rakhungi.”
(9) Yeh masnoon dua khaas padhen :
Allāhumm maqsim lana min khashyatik maa ayoolu baynana wa bayn ma’asiyatik wa min taa’atuk maa tuballighuna bihee rizwaanik minal yaqeeni ma yahoonu alayna bihee museebaatud dunya. Allāhumm amtiana bi asmaa'ina wa absaarina wa quwwatina ma ahyaytana waj'alahul waariṡ minna waj'al ṡaarana ala man zalamana wansurna ala man aadaana wa taj'al museebatana fee deenina wala taj'alid dunya akbar hammina wala mablagha ilmina wala tusallit alyna manl laa yarhmuna bi rahmaik yaa arhamar raahimeen.
*******************
► Kisi wajah se tamaam namaaz na padh saken to jitni padh sakte hain utni nafl namaaz padhen aur phir Tilaawat e Qur’an, Kalma, Zikr ya Durood shareef padhte rahen.
► Aur apne liye aur tamaam ummat e Mustafa ke liye Dua e khair aur apne aaba wa ajdaad aur tamaam marhoomeen ke liye Due e maghfirat karen.
Aur tamaam musalmano ke liye dua e khair karen, Khaas kar un ke liye jinho ne dua ke liye kaha ho aur jin ke hum par ehsaan hain aur hum se jin ke huqooq ul ibaad me galti (gunaah) ho gaye ho.
Aur jin ko takleef pahunchai hai ya jin ka dil dukhaaya hai un sab se muafi maang len aur jo bhi naraaz [roothe hue] hain unhe mana len aur jin se ta’alluq [rishta] toota hua hai un se phir se rishta jod len.
► Jin ki namaazen Qaza ho gai hain wo pehle jitni mumkin ho utni Qaza namaaz padhen taake bariuz zimma ho jaayen.
Aur tauba karke ye pakka ahad karen ke aa'inda sab namaaz waqt par ada karne ki koshish karenge aur namaaz ke foyuz o barkaat haasil karte rahenge.
Nafl namaaz ka pura ṡawaab usi ko milta hai jo Farz namaaz waqt par ada karta hai aur pehle un namaazo ki qaza padh leta hai jo chhut gai hai.
5 waqt ki Qaza namaaz me Rak'at ki ta’adaad :
Fajr 2, Zohar 4, Asr 4, Maghrib 3, Ishaa 4, Witr 3.
►Mayassar ho to Qabrastan aur Buzurgaane deen ke mazaaraat par haazir hokar sahi tareeqe se Due e maghfirat aur Isaale ṡawaab karen. Apne ghar par bhi marhoomeen ke liye Due e maghfirat aur Isaale ṡawaab kar sakte hain.
►Kaṡrat se Sadqa-khairaat karen. Ghareebo mohtaajo ko khaana khilaayen. Beemaaro ki iyaadat karen, un ki dawa aur ilaaj karaayen.
*************** ******
14 aur 15 Sha’abaan ko Roza rakhen.
Hadeeṡe Nabawi :
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya,
(1) Jis ne 15wi Sha’abaan ko roza rakha us ko meri shafa’at halaal ho gai.
(2) Jo shakhs 15wi Sha’abaan ko roza rakhe use jahannam ki aag na chhuegi.
*************** ******
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Ahle bait ke waseele se aur Auliya Allāh aur Shohada ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko Nek amal karne ki aur Gunaaho se bachne ki taufiq ata farmae.
Aur is Mubarak raat me ALLĀH ta’ala ki raza ke liye sahi tareeqe se Ibaadat karne ki taufiq ata farmae aur hamari ibaadat ko qubool farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Har pareshaani aur Ranj o gham se najaat ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Comments